uljhan
chāñd kī nazr kiye maiñ ne nazar ke sajde
husn-e-ma.asūm ke jalvoñ kā parastār rahā
maiñ ne tāroñ pe nigāhoñ kī kamandeñ pheñkīñ
ek rañgīn haqīqat kā talabgār rahā
zehn ke parde pe raqsāñ hai koī aks-e-jamīl
husn ke ruup meñ shāyad vo yakāyak mil jaa.e
har na.e jalve se be-sāḳhta yuuñ lipTā huuñ
jaise bichhḌā huā ik dost yakāyak mil jaa.e
maiñ ne alfāz meñ rūmān ke naġhme Dhāle
sa.ī-e-taḳhlīq-e-tarannum se sukūñ mil na sakā
mutma.in ho na sakīñ merī sulagtī nazreñ
hasb-e-dil-ḳhvāh mujhe zauq-e-junūñ mil na sakā
merī āshufta-nigāhī kā asar chhin jaa.e
mujh se ai kaash mirā zauq-e-nazar chhin jaa.e
chand ki nazr kiye main ne nazar ke sajde
husn-e-masum ke jalwon ka parastar raha
main ne taron pe nigahon ki kamanden phenkin
ek rangin haqiqat ka talabgar raha
zehn ke parde pe raqsan hai koi aks-e-jamil
husn ke rup mein shayad wo yakayak mil jae
har nae jalwe se be-saKHta yun lipTa hun
jaise bichhDa hua ek dost yakayak mil jae
main ne alfaz mein ruman ke naghme Dhaale
sai-e-taKHliq-e-tarannum se sukun mil na saka
mutmain ho na sakin meri sulagti nazren
hasb-e-dil-KHwah mujhe zauq-e-junun mil na saka
meri aashufta-nigahi ka asar chhin jae
mujh se ai kash mera zauq-e-nazar chhin jae
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 1051)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.