ulma-e-zindani
Interesting Fact
Shibli was in Bombay at the time when a mosque was demolished in Kanpur during the British rule in India. The moment he got this news he penned this Nazm.
masājid kī hifāzat ke liye police kī hājat hai
ḳhudā ko aap ne mashkūr farmāyā ināyat hai
ajab kyā hai ki ab har shāh-rāh se ye sadā aa.e
mujhe bhī kam se kam ik ġhusl-ḳhāne kī zarūrat hai
pinhā.ī jā rahī haiñ ālimān-e-dīñ ko zanjīreñ
ye zevar sayyad-e-sajjād-ālī kī virāsat hai
yahī das biis agar haiñ kushtagān-e-ḳhanjar-andāzī
to mujh ko susti-e-bāzu-e-qātil kī shikāyat hai
shahīdān-e-vafā ke qatra-e-ḳhūñ kaam ā.eñge
urūs-e-masjid-e-zebā ko afshāñ kī zarūrat hai
ajab kyā hai jo nau-ḳhezoñ ne sab se pahle jāneñ diiñ
ki ye bachche haiñ in ko jald so jaane kī aadat hai
shahīdān-e-vafā kī ḳhaak se aa.ī haiñ āvāzeñ
ki shiblī bamba.ī meñ rah ke mahrūm-e-sa.ādat hai
masajid ki hifazat ke liye police ki hajat hai
KHuda ko aap ne mashkur farmaya inayat hai
ajab kya hai ki ab har shah-rah se ye sada aae
mujhe bhi kam se kam ek ghusl-KHane ki zarurat hai
pinhai ja rahi hain aaliman-e-din ko zanjiren
ye zewar sayyad-e-sajjad-ali ki wirasat hai
yahi das bis agar hain kushtagan-e-KHanjar-andazi
to mujh ko susti-e-bazu-e-qatil ki shikayat hai
shahidan-e-wafa ke qatra-e-KHun kaam aaenge
urus-e-masjid-e-zeba ko afshan ki zarurat hai
ajab kya hai jo nau-KHezon ne sab se pahle jaanen din
ki ye bachche hain in ko jald so jaane ki aadat hai
shahidan-e-wafa ki KHak se aai hain aawazen
ki shibli bambai mein rah ke mahrum-e-saadat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.