Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ummid

MORE BYNadiya ambar lodhi

    Thahro zarā maiñ aatī huuñ

    sūraj se nuur kirneñ le kar

    kisī ma.asūm tifl ke laboñ se hañsī le kar

    kisī ḳhushbū bhare jañgal se

    titliyāñ pakaḌ kar laatī huuñ

    tum Thahro

    maiñ aatī huuñ

    shaam ke Dhalte manzar-nāme se

    maiñ to jugnū pakaḌne

    hamesha tanhā jaatī huuñ

    raat aa.e to mat Darnā

    sitāroñ se raste pūchh kar

    tum ko batātī huuñ

    ḳhvāb bharī un āñkhoñ ke vāste

    niiñd bhī laatī huuñ

    tum Thahro

    maiñ aatī huuñ

    Thahro zara main aati hun

    suraj se nur ki kirnen le kar

    kisi masum tifl ke labon se hansi le kar

    kisi KHushbu bhare jangal se

    titliyan pakaD kar lati hun

    tum Thahro

    main aati hun

    sham ke Dhalte manzar-name se

    main to jugnu pakaDne

    hamesha tanha hi jati hun

    raat aae to mat Darna

    sitaron se raste puchh kar

    tum ko batati hun

    KHwab bhari un aankhon ke waste

    nind bhi lati hun

    tum Thahro

    main aati hun

    related content

    Nazm

    ummid ka dipak

    ek raat andheri hai

    Ibn-e-Ummeed
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now