ummid
ummīdeñ dukh detī haiñ
kyoñ ki ummīdoñ kī chhenī se
hī toḌnā paḌtā hai apne maazī ke but ko
aage baḌhne ke liye
apnoñ ke baġhair jiine kī ummīd kī bāteñ bhī
dukh detī haiñ
aisī koī nasīhat bhuul se bhī mat denā
ummīd vo rassī hai
jis se insān añdhere meñ Tañgā huā hai
ye taklīf-dah hai
lekin is rassī kā kaT jaanā
andherī khaa.ī meñ girne jaisā hai
ummīd karnā mustaqbil kā chehra banāne jaisā hai
mustaqbil ko jānñā insān ke bas kā nahīñ
ummīd karnā apne liye ek haul-nāk qaid tayyār karne jaisā hai
ummīd phūloñ ko bahār se nahīñ hotī
bas phuul khil jaate haiñ sāvan ke aane par
sāvan kī fitrat hai bārish aur ThanDak laanā
ummīd karne se sāvan kī fitrat badal nahīñ saktī
tum apne se milne vaale logoñ se koī
ummīd mat rakhnā
bas un kī fitrat jaan lenā
ummīd ek sarāb hai
insān kā vajūd ek sahrā
aur pyaas hameñ chalā.e jā rahī hai
ummīd ke sarāb kī jhiil kī taraf
safar jaarī hai
ummiden dukh deti hain
kyon ki ummidon ki chheni se
hi toDna paDta hai apne mazi ke but ko
aage baDhne ke liye
apnon ke baghair jine ki ummid ki baaten bhi
dukh deti hain
aisi koi nasihat bhul se bhi mat dena
ummid wo rassi hai
jis se insan andhere mein Tanga hua hai
ye taklif-dah hai
lekin is rassi ka kaT jaana
andheri khai mein girne jaisa hai
ummid karna mustaqbil ka chehra banane jaisa hai
mustaqbil ko jaanna insan ke bas ka nahin
ummid karna apne liye ek haul-nak qaid tayyar karne jaisa hai
ummid phulon ko bahaar se nahin hoti
bas phul khil jate hain sawan ke aane par
sawan ki fitrat hai barish aur ThanDak lana
ummid karne se sawan ki fitrat badal nahin sakti
tum apne se milne wale logon se koi
ummid mat rakhna
bas un ki fitrat jaan lena
ummid ek sarab hai
insan ka wajud ek sahra
aur pyas hamein chalae ja rahi hai
ummid ke sarab ki jhil ki taraf
safar jari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.