ummid
vo bachcha rāj-dulārā hai jo maañ kī aañkh kā taarā hai
qudrat ne us ko nikhārā hai fitrat ne us ko sañvārā hai
vo god meñ pal kar baḌhtā hai yā ik sāñche meñ Dhaltā hai
kis pyaar se maañ ko taktā hai jab ghuTnoñ ke bal chaltā hai
hai baap kā dil us par sadqe sau jaan se maañ us par vaarī
rah-rah ke ye aas lagāte haiñ kab maktab kī ho tayyārī
ummīd hai ye ghar vāloñ ko jis dam ye javāñ ho jā.egā
kumbe meñ izzat pā.egā har bigḌī ko ye banā.egā
vo bekas qābil-e-ibrat hai jo ranj uThā.e ġhurbat meñ
ho pīchhe qāfile vāloñ se aur bhaTke raah musībat meñ
raftār batātī hai us kī ummīd se taskīñ pā.egā
vo shaam ke hote manzil par gir paḌ ke pahuñch hī jā.egā
gumrāh na hoñ bhūle-bhaTke ummīd shuā-e-māh bane
himmat se kāñTā phuul bane har zarra charāġh-e-rāh bane
ummīd se haiñ zinda armāñ ummīd se duniyā qaa.em hai
ummīd kī rangā-rangī se gulshan kā sarāpā qaa.em hai
ummīd hai aisī phulvārī jis meñ na guzar ho sarsar kā
ummīd hai ik aisā dariyā jis meñ hai ḳhazāna gauhar kā
wo bachcha raj-dulara hai jo man ki aankh ka tara hai
qudrat ne us ko nikhaara hai fitrat ne us ko sanwara hai
wo god mein pal kar baDhta hai ya ek sanche mein Dhalta hai
kis pyar se man ko takta hai jab ghuTnon ke bal chalta hai
hai bap ka dil us par sadqe sau jaan se man us par wari
rah-rah ke ye aas lagate hain kab maktab ki ho tayyari
ummid hai ye ghar walon ko jis dam ye jawan ho jaega
kumbe mein izzat paega har bigDi ko ye banaega
wo bekas qabil-e-ibrat hai jo ranj uThae ghurbat mein
ho pichhe qafile walon se aur bhaTke rah musibat mein
raftar batati hai us ki ummid se taskin paega
wo sham ke hote manzil par gir paD ke pahunch hi jaega
gumrah na hon bhule-bhaTke ummid shua-e-mah bane
himmat se kanTa phul bane har zarra charagh-e-rah bane
ummid se hain zinda arman ummid se duniya qaem hai
ummid ki ranga-rangi se gulshan ka sarapa qaem hai
ummid hai aisi phulwari jis mein na guzar ho sarsar ka
ummid hai ek aisa dariya jis mein hai KHazana gauhar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.