Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umr ek na-qabil-e-tardid sachchai hai

Sameena Tabassum

umr ek na-qabil-e-tardid sachchai hai

Sameena Tabassum

MORE BYSameena Tabassum

    bahut pahle meñ apnī maañ bāteñ sun ke

    un pe ḳhuub hañstī thī

    ki ammī aap saarā din kabhī Tāñgoñ kabhī baazū

    kabhī sar kamar ke dard ke qisse sunātī haiñ

    allergy ke ka.ī hamle davā.iyoñ ke ka.ī shikve

    hamesha batātī haiñ

    hamesha shahr ke saare clinic doctor nurseñ

    kahāñ pe haiñ kaise haiñ

    sabhī kuchh jāntī haiñ

    un bāteñ bhī sunātī haiñ

    kabhī to aur koī baat bhī mujh se kiyā kiije

    to ammī hañs ke kahtī thiiñ

    'samīna' umr ke is daur meñ aur koī baat baaqī nahīñ rahtī

    aur ab maiñ ḳhud pe hañstī huuñ

    mire topic badalte rahe haiñ

    mere andar umr dīmak

    ka.ī barsoñ se mujh ko khā rahī hai

    aur maiñ chāhūñ bhī to kuchh kar nahīñ saktī

    mujhe jab log kahte haiñ

    'samīna' aap to is umr meñ bhī

    to maiñ ab ḳhud pe hañstī huuñ

    maiñ hañstī huuñ

    maiñ hañstī huuñ

    bahut pahle mein apni man ki baaten sun ke

    un pe KHub hansti thi

    ki ammi aap sara din kabhi Tangon kabhi bazu

    kabhi sar ya kamar ke dard ke qisse sunati hain

    allergy ke kai hamle dawaiyon ke kai shikwe

    hamesha hi batati hain

    hamesha shahr ke sare clinic doctor nursen

    kahan pe hain ya kaise hain

    sabhi kuchh jaanti hain

    un ki baaten bhi sunati hain

    kabhi to aur koi baat bhi mujh se kiya kije

    to ammi hans ke kahti thin

    'samina' umr ke is daur mein aur koi baat baqi hi nahin rahti

    aur ab main KHud pe hansti hun

    mere topic badalte ja rahe hain

    mere andar umr ki dimak

    kai barson se mujh ko kha rahi hai

    aur main chahun bhi to kuchh kar nahin sakti

    mujhe jab log kahte hain

    'samina' aap to is umr mein bhi

    to main ab KHud pe hansti hun

    main hansti hun

    main hansti hun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now