urdu
hai shahad se bhī mīThī urdu zabāñ hamārī
sach pūchhiye to ye hai taskīn-e-jāñ hamārī
dil kā surūr hai ye āñkhoñ kā nuur hai ye
urdu zabāñ ke ham haiñ urdu zabāñ hamārī
hindostāñ se chal kar europe pahuñch ga.ī hai
duniyā pe chhā rahī hai urdu zabāñ hamārī
ham hindiyoñ ne is ko sau chochaloñ se paalā
urdu hai aaj vāhid qaumī zabāñ hamārī
vāhid ho qaum apnī vāhid zabān apnī
be-shak jabhī karegā izzat jahāñ hamārī
jab tak jiyeñge ḳhidmat urdu kī ham kareñge
urdu hai zindagī kī rūh-o-ravāñ hamārī
āsān aur shīrīñ dilchasp aur piyārī
hai har zabāñ se baḌh kar urdu zabāñ hamārī
hai shahad se bhi miThi urdu zaban hamari
sach puchhiye to ye hai taskin-e-jaan hamari
dil ka surur hai ye aankhon ka nur hai ye
urdu zaban ke hum hain urdu zaban hamari
hindostan se chal kar europe pahunch gai hai
duniya pe chha rahi hai urdu zaban hamari
hum hindiyon ne is ko sau chochalon se pala
urdu hai aaj wahid qaumi zaban hamari
wahid ho qaum apni wahid zaban apni
be-shak jabhi karega izzat jahan hamari
jab tak jiyenge KHidmat urdu ki hum karenge
urdu hai zindagi ki ruh-o-rawan hamari
aasan aur shirin dilchasp aur piyari
hai har zaban se baDh kar urdu zaban hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.