us basti ke rahne wale
ai bādal ke pyāre TukḌo garjo na yahāñ barso na yahāñ
bikhrāo na tum is vaadī meñ ye sachche motī kī laḌiyāñ
paanī hai tumhārā pākīza bastī hai najāsat meñ ġhaltāñ
vo qaum karam kī ahl nahīñ pahne jo ġhulāmī kī kaḌiyāñ
phailāo na tum is vaadī meñ ye apne ruuī ke gaale
sab jakḌe haiñ zanjīroñ meñ is bastī ke rahne vaale
ai jannat kī bholī chiḌiyo gaao na yahāñ kī Dāloñ par
yaañ qaid zabāñ par hai sab kī pahra hai sab ke ḳhayāloñ par
qānūn kī bandish aa.ed hai vīroñ ke jangī aaloñ par
talvāreñ kund javānoñ kī muddat se zang hai bhāloñ par
phaile haiñ goshe goshe meñ zahrīlī siyāsat ke jaale
sab jakḌe haiñ zanjīroñ meñ is bastī ke rahne vaale
ai purvā ke ThanDe jhoñko dikhlāo na apnī shaan bahut
ham logoñ kī biptā sun kar ho jāoge hairān bahut
duniyā meñ chal-phir kar tum ne dekhe hoñge insān bahut
lekin is mulk ke bāshinde sab ke sab haiñ nādān bahut
har jaal meñ ye phañs jaate haiñ sīdhe-sādhe bhole-bhāle
sab jakḌe haiñ zanjīroñ meñ is bastī ke rahne vaale
ai dariyā kī chanchal lahro machlo na yahāñ ke sāhil par
tum chāñdī se baḌh kar ujlī tum sone se baḌh ke sundar
kyoñ apne jauhar khotī ho is gandī bastī meñ aa kar
Dar hai ki na tum par ho jaa.e ham logoñ kī sohbat kā asar
kaalī na kahīñ tum paḌ jaao ham to kahlāte haiñ kaale
sab jakḌe haiñ zanjīroñ meñ is bastī ke rahne vaale
ai chāñdī kī matvālī kirno pechīda yahāñ kī haiñ rāheñ
do haath kafan miltā bhī nahīñ ghabrā ke jo marnā bhī chāheñ
puurī ujrat paatī bhī nahīñ shal ho ke ġharīboñ kī bāheñ
bevāoñ ke aañsū be-qīmat be-kār yatīmoñ kī aaheñ
mazdūr kī nāzuk doshīza kartī hai ġharībī par naale
sab jakḌe haiñ zanjīroñ meñ is bastī ke rahne vaale
ai bhārat ke pāgal shā.ir ai hindostāñ ke 'salām'-e-hazīñ
bastī meñ ġhulāmoñ kī rah kar tū chheḌ na ye naġhmāt-e-hasīñ
uḌ jā tū vahāñ panchhī ban kar mil jaa.e jahāñ āzād zamīñ
āzād chaman āzād vatan āzād makāñ āzād makīñ
phaile hoñ jahāñ ke maidāñ meñ āzād sahar ke ujiyāle
sab jakḌe haiñ zanjīroñ meñ is bastī ke rahne vaale
ai baadal ke pyare TukDo garjo na yahan barso na yahan
bikhrao na tum is wadi mein ye sachche moti ki laDiyan
pani hai tumhaara pakiza basti hai najasat mein ghaltan
wo qaum karam ki ahl nahin pahne jo ghulami ki kaDiyan
phailao na tum is wadi mein ye apne rui ke gale
sab jakDe hain zanjiron mein is basti ke rahne wale
ai jannat ki bholi chiDiyo gao na yahan ki Dalon par
yan qaid zaban par hai sab ki pahra hai sab ke KHayalon par
qanun ki bandish aaed hai wiron ke jangi aalon par
talwaren kund jawanon ki muddat se zang hai bhaalon par
phaile hain goshe goshe mein zahrili siyasat ke jale
sab jakDe hain zanjiron mein is basti ke rahne wale
ai purwa ke ThanDe jhonko dikhlao na apni shan bahut
hum logon ki bipta sun kar ho jaoge hairan bahut
duniya mein chal-phir kar tum ne dekhe honge insan bahut
lekin is mulk ke bashinde sab ke sab hain nadan bahut
har jal mein ye phans jate hain sidhe-sadhe bhole-bhaale
sab jakDe hain zanjiron mein is basti ke rahne wale
ai dariya ki chanchal lahro machlo na yahan ke sahil par
tum chandi se baDh kar ujli tum sone se baDh ke sundar
kyon apne jauhar khoti ho is gandi basti mein aa kar
Dar hai ki na tum par ho jae hum logon ki sohbat ka asar
kali na kahin tum paD jao hum to kahlate hain kale
sab jakDe hain zanjiron mein is basti ke rahne wale
ai chandi ki matwali kirno pechida yahan ki hain rahen
do hath kafan milta bhi nahin ghabra ke jo marna bhi chahen
puri ujrat pati bhi nahin shal ho ke gharibon ki bahen
bewaon ke aansu be-qimat be-kar yatimon ki aahen
mazdur ki nazuk doshiza karti hai gharibi par nale
sab jakDe hain zanjiron mein is basti ke rahne wale
ai bhaarat ke pagal shair ai hindostan ke 'salam'-e-hazin
basti mein ghulamon ki rah kar tu chheD na ye naghmat-e-hasin
uD ja tu wahan panchhi ban kar mil jae jahan aazad zamin
aazad chaman aazad watan aazad makan aazad makin
phaile hon jahan ke maidan mein aazad sahar ke ujiyale
sab jakDe hain zanjiron mein is basti ke rahne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.