uske baad
purāne ghar meñ koī rahe kyā
har ek shai se tumhārī bāñheñ lipaT rahī haiñ
fazā meñ ab tak
tumhāre malbūs aur badan kī nashīlī ḳhushbū
rachī huī hai
har ek goshe meñ
halkī halkī tumhārī āvāz tairtī hai
ḳhamosh vīrān ā.īne meñ tumhārī āñkheñ
har aane vaale ko roktī haiñ
udaas ghar meñ jo koī aa.e
tumhāre sāñsoñ kā shor pā ke
tumhārī dhaḌkan kā giit sun ke
vahīñ dabe paañv lauT jaa.e
purane ghar mein koi rahe kya
har ek shai se tumhaari banhen lipaT rahi hain
faza mein ab tak
tumhaare malbus aur badan ki nashili KHushbu
rachi hui hai
har ek goshe mein
halki halki tumhaari aawaz tairti hai
KHamosh viran aaine mein tumhaari aankhen
har aane wale ko rokti hain
udas ghar mein jo koi aae
tumhaare sanson ka shor pa ke
tumhaari dhaDkan ka git sun ke
wahin dabe panw lauT jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.