usne kaha!
saa.e baḌhne lage aur jaise kahīñ raat huī
der tak baiThe rahe āñkhoñ meñ āñkheñ Daale
phir dil-e-zār ne chupke se unheñ chuum liyā
hoñT tharrā.e ki kis tarah kī ye baat huī
pyārī āñkhoñ ne kahā ham to bahut haiñ maḳhmūr
koī nāshād rahe ham to abhī haiñ masrūr
zehn-e-shā.er bhī taḳhayyul meñ zarā jhuum liyā
baat utnī hī huī thī ki vo āñkheñ bolīñ
''bār-hā tum ne hamārī hī qasam khaa.ī hai
sach kaho jur.at-e-dil kaise kahāñ paa.ī hai
ham pe sadqe kiyā karte ho dil-o-jāñ lekin
raaz haiñ kaun se pinhāñ ye samajhte bhī ho!
kis tarah tum se kareñ ahd-e-vafā kī bāteñ
ajnabī hotā hai mehmāñ ye samajhte bhī ho!
Dūbne lagte ho jab yaas kī gahrā.ī meñ
bekasī ham se tumhārī nahīñ dekhī jātī!
jaam pe jaam chaḌhāte ho ki ġham kuchh bhī nahīñ
be-ḳhudī ham se tumhārī nahīñ dekhī jātī!
kyuuñ kahā karte ho duniyā hai ye ham kuchh bhī nahīñ
aise lamhoñ meñ bhalā kis ne sambhālā hai kaho
ġham-kade se tumheñ kis tarah nikālā hai kaho!
apne siine meñ bhī jazbāt ke tūfāñ haiñ magar
ham tumhārī hī tarah be-sar-o-sāmāñ haiñ magar
husn ke aaj har ik gaam pe saudā.ī haiñ
apnī nazreñ bhī to ab bā.is-e-rusvā.ī haiñ''
zehn-e-shā.er ne ye bāteñ bhī sunīñ kuchh na kahā
haath ḳhud baḌh ke na.ī tarah se hāthoñ se mile
āñkhoñ āñkhoñ meñ mohabbat kī na.ī baat huī
saa.e baḌhne lage aur jaise kahīñ raat huī
sae baDhne lage aur jaise kahin raat hui
der tak baiThe rahe aankhon mein aankhen Dale
phir dil-e-zar ne chupke se unhen chum liya
honT tharrae ki kis tarah ki ye baat hui
pyari aankhon ne kaha hum to bahut hain maKHmur
koi nashad rahe hum to abhi hain masrur
zehn-e-shaer bhi taKHayyul mein zara jhum liya
baat utni hi hui thi ki wo aankhen bolin
bar-ha tum ne hamari hi qasam khai hai
sach kaho jurat-e-dil kaise kahan pai hai
hum pe sadqe kiya karte ho dil-o-jaan lekin
raaz hain kaun se pinhan ye samajhte bhi ho!
kis tarah tum se karen ahd-e-wafa ki baaten
ajnabi hota hai mehman ye samajhte bhi ho!
Dubne lagte ho jab yas ki gahrai mein
bekasi hum se tumhaari nahin dekhi jati!
jam pe jam chaDhate ho ki gham kuchh bhi nahin
be-KHudi hum se tumhaari nahin dekhi jati!
kyun kaha karte ho duniya hai ye hum kuchh bhi nahin
aise lamhon mein bhala kis ne sambhaala hai kaho
gham-kade se tumhein kis tarah nikala hai kaho!
apne sine mein bhi jazbaat ke tufan hain magar
hum tumhaari hi tarah be-sar-o-saman hain magar
husn ke aaj har ek gam pe saudai hain
apni nazren bhi to ab bais-e-ruswai hain
zehn-e-shaer ne ye baaten bhi sunin kuchh na kaha
hath KHud baDh ke nai tarah se hathon se mile
aankhon aankhon mein mohabbat ki nai baat hui
sae baDhne lage aur jaise kahin raat hui
- Book : shahr-e-aarzu(rekhta website) (Pg. 133)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.