usne mujhe kyun rokna chaha
mujhe us se ta.alluq thā to bas itnā
ki merī chand sāñseñ kho ga.ī thiiñ us kī bastī meñ
magar maiñ ne use apnī mohabbat kā amiiñ jaanā
na us ne hī kabhī galiyoñ meñ chhup-chhup kar mujhe dekhā
kabhī ham raah meñ ik dūsre ke sāmne aa.e
to yuuñ jaise kisī ḳhāmosh station pe do saada musāfir
rail kī aamad par ik-dam chauñk kar ik dūsre ko ḳhauf se dekheñ
ab us ke aur mere darmiyān talvār sī kaalī masāfat hai
magar maiñ sochtā rahtā huuñ jab koī na thā aisā ta.alluq darmiyāñ
jis ko maiñ chāhat kā samar kahtā
to vo kyuuñ fāsla de kar bharī bastī kī sarhad tak mire pīchhe chalā aayā
aur us ne apnī bhīgī boltī āñkhoñ kī hasrat se
mujhe kyuuñ roknā chāhā
mujhe us se talluq tha to bas itna
ki meri chand sansen kho gai thin us ki basti mein
magar main ne use apni mohabbat ka amin jaana
na us ne hi kabhi galiyon mein chhup-chhup kar mujhe dekha
kabhi hum rah mein ek dusre ke samne aae
to yun jaise kisi KHamosh station pe do sada musafir
rail ki aamad par ik-dam chaunk kar ek dusre ko KHauf se dekhen
ab us ke aur mere darmiyan talwar si kali masafat hai
magar main sochta rahta hun jab koi na tha aisa talluq darmiyan
jis ko main chahat ka samar kahta
to wo kyun fasla de kar bhari basti ki sarhad tak mere pichhe chala aaya
aur us ne apni bhigi bolti aankhon ki hasrat se
mujhe kyun rokna chaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.