use kahna december aaya hai
use kahnā december aayā hai
ḳhizāñ ne bahār kī ḳhūb-sūratī ko
chīnār ke zard pattoñ meñ dafn kar diyā hai
in pattoñ kī javānī ab buḌhāpe kī siskiyoñ
meñ ro rahī hai
ab ye ronā bhī rafta rafta dam toḌ degā
aur apne ma.ashūq kī be-bas Tahniyoñ se
judā.ī kā karb sahte sahte
ye sūkhe patte ḳhāk-nashīn ho jā.eñge
phir kaun inheñ yaad rakhegā
use kahnā ki vo gulshan
jis ke phūloñ kī ḳhūb-sūratī dekhne vāloñ kī āñkhoñ ko bhī
ḳhūbsūrat banā detī thī
aur jis kī mahak
saañs meñ bhī ḳhushbū ghol detī thī
use ab
ūñghte bulbul hasrat se tak rahe haiñ
vo bulbul jinhoñ ne gulshan meñ bahār ke naġhme
gaa.e the
jin kī surīlī āvāz par titliyāñ phūloñ ke gird raqs karte karte
qaus-e-quzah ko bhī sharminda kar detī thiiñ
lekin ab mausam badalte hī na jaane vo titliyāñ
phūloñ kā mazāq uḌā kar kis des ko jā basīñ
dāstān-e-hijr sunā kar zarā ġhaur se dekhnā
ki un jhiil sī āñkhoñ kā rang piilā paḌ jaatā hai yā ki
niilā hī rahtā hai
aur sabr se sunñā ki
un gulābī hoñToñ se bhauñre ke shauq meñ
aah nikaltī hai yā ki vaah
use kahna december aaya hai
KHizan ne bahaar ki KHub-surati ko
chinar ke zard patton mein dafn kar diya hai
in patton ki jawani ab buDhape ki siskiyon
mein ro rahi hai
ab ye rona bhi rafta rafta dam toD dega
aur apne mashuq ki be-bas Tahniyon se
judai ka karb sahte sahte
ye sukhe patte KHak-nashin ho jaenge
phir kaun inhen yaad rakhega
use kahna ki wo gulshan
jis ke phulon ki KHub-surati dekhne walon ki aankhon ko bhi
KHubsurat bana deti thi
aur jis ki mahak
sans mein bhi KHushbu ghol deti thi
use ab
unghte bulbul hasrat se tak rahe hain
wo bulbul jinhon ne gulshan mein bahaar ke naghme
gae the
jin ki surili aawaz par titliyan phulon ke gird raqs karte karte
qaus-e-quzah ko bhi sharminda kar deti thin
lekin ab mausam badalte hi na jaane wo titliyan
phulon ka mazaq uDa kar kis des ko ja basin
dastan-e-hijr suna kar zara ghaur se dekhna
ki un jhil si aankhon ka rang pila paD jata hai ya ki
nila hi rahta hai
aur sabr se sunna ki
un gulabi honTon se bhaunre ke shauq mein
aah nikalti hai ya ki wah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.