use sab ne dekha
dhuul kī āvāz meñ jal-thal samundar gum hue
dar-band chehre masḳh
bīnā.ī pareshāñ ḳhvāb
poroñ kā lahū bādal
saroñ ke baal ḳhākistar hue
aane vāloñ ne sabā kī ujḌī ḳhushbū
phīke hoñToñ zard kānoñ pe sajā.ī
us ke ghar kā dar khulā
vahshat-zada chehroñ ne dekhā rang bādāmī badan nangā
ḳharāsheñ apne nāḳhun kī amiiñ gum-sum shikasta
rū-e-ā.īna meñ sargoshī huī
reza-reza zarra-zarra pyaas meñ aTtī havā ke silsile
nesh-zan lamhoñ meñ maḳhfī dhaḌkanoñ kā raqs
maddham be-karāñ miTTī se pur
us ne sahrā meñ bikharte bol gosh-e-kārvāñ ban ke sune
din kisī shīshe ke naḳhl-e-sard kī mānind
us ke sūkhte gāloñ kī tarah ḳhushk shaam
sīna-e-ālam khulā us ne apnī zard āñkheñ khol diiñ
raat kā manzar khulā
us ke siine kī siyāhī pairahan bunñe lage
dhul ki aawaz mein jal-thal samundar gum hue
dar-band chehre masKH
binai pareshan KHwab
poron ka lahu baadal
saron ke baal KHakistar hue
aane walon ne saba ki ujDi KHushbu
phike honTon zard kanon pe sajai
us ke ghar ka dar khula
wahshat-zada chehron ne dekha rang baadami badan nanga
KHarashen apne naKHun ki amin gum-sum shikasta
ru-e-aina mein sargoshi hui
reza-reza zarra-zarra pyas mein aTti hawa ke silsile
nesh-zan lamhon mein maKHfi dhaDkanon ka raqs
maddham be-karan miTTi se pur
us ne sahra mein bikharte bol gosh-e-karwan ban ke sune
din kisi shishe ke naKHl-e-sard ki manind
us ke sukhte galon ki tarah KHushk sham
sina-e-alam khula us ne apni zard aankhen khol din
raat ka manzar khula
us ke sine ki siyahi pairahan bunne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.