wada
is se pahle ki terī chashm-e-karam
ma.azarat kī nigāh ban jaa.e
is se pahle ki tere baam kā husn
rif.at-e-mehr-o-māh ban jaa.e
pyaar Dhal jaa.e mere ashkoñ meñ
aarzū ek aah ban jaa.e
mujh pe aa jaa.e ishq kā ilzām
aur tū be-gunāh ban jaa.e
maiñ tirā shahr chhoḌ jā.ūñgā
is se pahle ki sādgī terī
lab-e-ḳhāmosh ko gila kah de
maiñ tujhe chāragar ḳhayāl karūñ
tū mire ġham ko lā-davā kah de
terī majbūriyāñ na dekh sake
aur dil tujh ko bevafā kah de
jaane maiñ be-ḳhudī meñ kyā pūchhūñ
jaane tū be-ruḳhī se kyā kah de
maiñ tirā shahr chhoḌ jā.ūñgā
chāra-e-dard ho bhī saktā thā
mujh ko itnī ḳhushī bahut kuchh hai
pyaar go jāvedāñ nahīñ phir bhī
pyaar kī yaad bhī bahut kuchh hai
aane vaale dinoñ kī zulmat meñ
aaj kī raushnī bahut kuchh hai
us tahī-dāmanī ke aalam meñ
jo milā hai vahī bahut kuchh hai
maiñ tirā shahr chhoḌ jā.ūñgā
chhoḌ kar sāhil-e-murād chalā
ab safīna mirā kahīñ Thahre
zahar piinā mirā muqaddar hai
aur tire hoñT añgbīñ Thahre
kis tirā tere āstāñ pe rukūñ
jab na paañv tale zamīñ Thahre
us se behtar hai dil yahī samjhe
tū ne rokā thā ham nahīñ Thahre
maiñ tirā shahr chhoḌ jā.ūñgā
mujh ko itnā zarūr kahnā hai
vaqt-e-ruḳhsat salām se pahle
koī naama nahīñ likhā maiñ ne
tere harf-e-payām se pahle
toḌ luuñ rishta-e-nazar meñ bhī
tum utar jaao baam se pahle
le mirī jaan merā va.ada hai
kal kisī vaqt shaam se pahle
maiñ tirā shahr chhoḌ jā.ūñgā
is se pahle ki teri chashm-e-karam
mazarat ki nigah ban jae
is se pahle ki tere baam ka husn
rifat-e-mehr-o-mah ban jae
pyar Dhal jae mere ashkon mein
aarzu ek aah ban jae
mujh pe aa jae ishq ka ilzam
aur tu be-gunah ban jae
main tera shahr chhoD jaunga
is se pahle ki sadgi teri
lab-e-KHamosh ko gila kah de
main tujhe chaaragar KHayal karun
tu mere gham ko la-dawa kah de
teri majburiyan na dekh sake
aur dil tujh ko bewafa kah de
jaane main be-KHudi mein kya puchhun
jaane tu be-ruKHi se kya kah de
main tera shahr chhoD jaunga
chaara-e-dard ho bhi sakta tha
mujh ko itni KHushi bahut kuchh hai
pyar go jawedan nahin phir bhi
pyar ki yaad bhi bahut kuchh hai
aane wale dinon ki zulmat mein
aaj ki raushni bahut kuchh hai
us tahi-damani ke aalam mein
jo mila hai wahi bahut kuchh hai
main tera shahr chhoD jaunga
chhoD kar sahil-e-murad chala
ab safina mera kahin Thahre
zahar pina mera muqaddar hai
aur tere honT angbin Thahre
kis tera tere aastan pe rukun
jab na panw tale zamin Thahre
us se behtar hai dil yahi samjhe
tu ne roka tha hum nahin Thahre
main tera shahr chhoD jaunga
mujh ko itna zarur kahna hai
waqt-e-ruKHsat salam se pahle
koi nama nahin likha main ne
tere harf-e-payam se pahle
toD lun rishta-e-nazar mein bhi
tum utar jao baam se pahle
le meri jaan mera wada hai
kal kisi waqt sham se pahle
main tera shahr chhoD jaunga
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 182)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.