wade
samundar kināre jahāñ ham mile the vahīñ ek sundar gharauñdā milegā
zamāna se laḌ kar jo lauT aaoge tum
merā muskurātā sā chehra milegā
tumhīñ ne milāyā thā fardā ke aise hasīñ manzaroñ se
tumhīñ ne kahā thā ki sājhā raheñge ye sukh-dukh hamāre
tumhīñ ne
chalo ḳhair chhoḌo
sunā hai banāyā hai tum ne vahīñ par bahut ḳhūbsūrat sā bañgla
sunā hai ka.ī rañg ke phuul khilte haiñ gulzār rahtā hai saarā ahāta
chalo aaj ik va.ada maiñ bhī karūñgī
bhale ham nahīñ saath jī paa.e lekin
tumhāre ahāte ke andar marūñgī
samundar kinare jahan hum mile the wahin ek sundar gharaunda milega
zamana se laD kar jo lauT aaoge tum
mera muskuraata sa chehra milega
tumhin ne milaya tha farda ke aise hasin manzaron se
tumhin ne kaha tha ki sajha rahenge ye sukh-dukh hamare
tumhin ne
chalo KHair chhoDo
suna hai banaya hai tum ne wahin par bahut KHubsurat sa bangla
suna hai kai rang ke phul khilte hain gulzar rahta hai sara ahata
chalo aaj ek wada main bhi karungi
bhale hum nahin sath ji pae lekin
tumhaare ahate ke andar marungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.