wadi-e-kailash
maiñ kāfir huuñ
mujhe ḳhushbū bharī vaadī bulātī hai
jahāñ kirneñ utartī haiñ
to dhartī raqs kartī hai
jahāñ jharne machalte haiñ
fazā.eñ gungunātī haiñ
jahāñ nafrat nahīñ hotī
jahāñ qātil nahīñ hote
jahāñ ġhurbat to hotī hai
magar mujrim nahīñ hote
vo vaadī hī to jannat hai
mohabbat hī ibādat hai
jahāñ sab log raqsāñ haiñ
ḳhushī ke rang meñ Duube
sarāpā nuur sab chehre
bas apnī dhun meñ raqsāñ haiñ
ḳhushī bhī raqs hai un kā
ġhamī bhī raqs hai un kā
vo ulfat bhī manāte haiñ
vo furqat bhī manāte haiñ
vo kāfir haiñ
magar ab bhī hasīñ jannat meñ rahte haiñ
maiñ kāfir huuñ
mujhe ḳhushbū bharī vaadī bulātī hai
main kafir hun
mujhe KHushbu bhari wadi bulati hai
jahan kirnen utarti hain
to dharti raqs karti hai
jahan jharne machalte hain
fazaen gungunati hain
jahan nafrat nahin hoti
jahan qatil nahin hote
jahan ghurbat to hoti hai
magar mujrim nahin hote
wo wadi hi to jannat hai
mohabbat hi ibaadat hai
jahan sab log raqsan hain
KHushi ke rang mein Dube
sarapa nur sab chehre
bas apni dhun mein raqsan hain
KHushi bhi raqs hai un ka
ghami bhi raqs hai un ka
wo ulfat bhi manate hain
wo furqat bhi manate hain
wo kafir hain
magar ab bhi hasin jannat mein rahte hain
main kafir hun
mujhe KHushbu bhari wadi bulati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.