wapsi
maslahat ek sahelī merī
us ne tumhārī soch pe pābandī aa.ed kī thī
maiñ ne us kā dil rakhne ko haamī bhar lī thī
lekin mujhe akelā pā kar
kal ik nanhā-munnā bhed bharā lamha
kilkārī bhartā aayā
us ne jis kī uñglī thaam rakhī thī
vo to tum the
āñkhoñ meñ shāmeñ utrī thiiñ
ghanī ghanī palkoñ ke pīchhe ik nāranjī shikva Duub rahā thā
kyā maiñ ik pal ko bhī soche jaane laa.eq nahīñ rahā huuñ
chup kī lambī yaḳh-dīvāroñ ko chhūkar
tum lauT ga.e ho
lekin apnā chanchal sāthī pīchhe chhoḌ ga.e ho
aur vo mere chār-sū phere khel khel kar
merā āñchal thāme thāme jaane kyā kyā pūchh pūchh kar thak hī gayā hai
mere kañdhe lag kar ḳhvāboñ ke jhūle meñ jhuul rahā hai
us ke jāgne se pahle
tum us ko lene aa jaao
maslahat ek saheli meri
us ne tumhaari soch pe pabandi aaed ki thi
main ne us ka dil rakhne ko hami bhar li thi
lekin mujhe akela pa kar
kal ek nanha-munna bhed bhara lamha
kilkari bharta aaya
us ne jis ki ungli tham rakhi thi
wo to tum the
aankhon mein shamen utri thin
ghani ghani palkon ke pichhe ek naranji shikwa Dub raha tha
kya main ek pal ko bhi soche jaane laeq nahin raha hun
chup ki lambi yaKH-diwaron ko chhukar
tum lauT gae ho
lekin apna chanchal sathi pichhe chhoD gae ho
aur wo mere chaar-su phere khel khel kar
mera aanchal thame thame jaane kya kya puchh puchh kar thak hi gaya hai
mere kandhe lag kar KHwabon ke jhule mein jhul raha hai
us ke jagne se pahle
tum us ko lene aa jao
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 487)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.