waba ke dinon ka safar-nama
1
shahr ḳhālī karvā liyā jaatā hai
aur vabā ke dinoñ meñ mohabbat
mamnū’ qarār paatī hai
kirāya-nāmoñ se
ka.ī shahroñ ke naam ġhā.eb ho
jaate haiñ
aur
sāhilī āñkheñ
Daak ke intizār meñ
būḌhī hone lagtī haiñ
march kī sadā-bahār sah-pahroñ meñ
vaqt
kabhī kabhī
jhurjhurī le kar uThtā hai
aur phir ūñghne lag jaatā hai
train ek sunsān station par rok lī jaatī hai
2
yahāñ
maut
kaḌve bādāmoñ kī
mahak ban kar phail rahī hai
sard āñkheñ be-rang chehre
us kī dahshat se
pathrāne lage haiñ
purāne daraḳhtoñ
kī darāḌoñ meñ
saañp base haiñ
sāl-ḳhūrda havelī
kisī qadīm peshīn-goī ke
ḳhauf meñ Duubī hai
aur
chāñdnī baaġh ko
jhaḌte pattoñ kī
chādar ne Dhāñp liyā hai
3
suno
agar bosoñ pe ‘aa.ed pābandī
ḳhatm hone se pahle
maiñ lauT kar na aa sakā to
to ye ḳhat
merī āḳhirī nishānī samajh kar
mahfūz kar lenā
4
ranj-bharī dopahar
gulābī shāmoñ kī yaad meñ
tulū' hotī hai
aur saa.e lambe ho kar
āñkhoñ tak aa jaate haiñ
qasba udaas hai
ki is baar
nauroz kā tehvār
manāyā nahīñ jā sakā
gul-e-do-pahrī ke phuul
gamloñ meñ murjhā ga.e haiñ
gharoñ kī khiḌkiyoñ par
jastī chādareñ chaḌhī haiñ
kamre meñ nīm-tārīk mohabbat kī
yādgāreñ dhuñdlā rahī haiñ
aur photo frames pe jamī gard
siyāh hone lagī hai
5
sabz lahreñ
jazīre kā kināra kāTtī haiñ
to surḳh bārish
khaprail kī chhatoñ par nāchne lagtī hai
maiñ ye nazm
purānī rum kī botal meñ Daal kar
samundar ke havāle kar rahā huuñ
agar āḳhirī sūraj
ġhurūb hone se pahle
ye tumheñ mausūl ho jaa.e
to merī tasvīr ke saath
vaale frame meñ lagā denā
6
merī saarī zamīn
girvī rakh lī ga.ī
aur
puurā āsmān
sar se chhīn liyā gayā
vo vabā ke ibtidā.ī din the
jab tum
mere qarīb aa.iiñ
aur vabā ḳhatm hone se pahle
ruḳhsat ho ga.iiñ
tumhāre jaane par
saarā qasba
udāsī se bhar gayā
lekin
maiñ apnī āñkhoñ meñ
do buuñd aañsū bhī
ikaTThe na kar sakā
ik jhulastī shaam meñ
mujhe khurche hue
siyāh lafzoñ kā vasiyyat-nāma
unhoñ ne thamāyā
jinhoñ ne
kisī raushan tehvār par
mujhe yaad nahīñ kiyā thā
7
maiñ yahāñ
ukhaḌtī sāñsoñ meñ paivand
lagāte thak chukā huuñ
pushtainī siyāh chādar
mere shāne udheḌ rahī hai
ek din maiñ
isī chādar meñ lipTā
is zamīn meñ so jā.ūñgā
jahāñ
mujhe jānñe vaalā
koī nahīñ hai
1
shahr KHali karwa liya jata hai
aur waba ke dinon mein mohabbat
mamnu’ qarar pati hai
kiraya-namon se
kai shahron ke nam ghaeb ho
jate hain
aur
sahili aankhen
Dak ke intizar mein
buDhi hone lagti hain
march ki sada-bahaar sah-pahron mein
waqt
kabhi kabhi
jhurjhuri le kar uThta hai
aur phir unghne lag jata hai
train ek sunsan station par rok li jati hai
2
yahan
maut
kaDwe baadamon ki
mahak ban kar phail rahi hai
sard aankhen be-rang chehre
us ki dahshat se
pathrane lage hain
purane daraKHton
ki daraDon mein
sanp base hain
sal-KHurda haweli
kisi qadim peshin-goi ke
KHauf mein Dubi hai
aur
chandni bagh ko
jhaDte patton ki
chadar ne Dhanp liya hai
3
suno
agar boson pe ‘aed pabandi
KHatm hone se pahle
main lauT kar na aa saka to
to ye KHat
meri aaKHiri nishani samajh kar
mahfuz kar lena
4
ranj-bhari dopahar
gulabi shamon ki yaad mein
tulu' hoti hai
aur sae lambe ho kar
aankhon tak aa jate hain
qasba udas hai
ki is bar
nauroz ka tehwar
manaya nahin ja saka
gul-e-do-pahri ke phul
gamlon mein murjha gae hain
gharon ki khiDkiyon par
jasti chadaren chaDhi hain
kamre mein nim-tarik mohabbat ki
yaadgaren dhundla rahi hain
aur photo frames pe jami gard
siyah hone lagi hai
5
sabz lahren
jazire ka kinara kaTti hain
to surKH barish
khaprail ki chhaton par nachne lagti hai
main ye nazm
purani rum ki botal mein Dal kar
samundar ke hawale kar raha hun
agar aaKHiri suraj
ghurub hone se pahle
ye tumhein mausul ho jae
to meri taswir ke sath
wale frame mein laga dena
6
meri sari zamin
girwi rakh li gai
aur
pura aasman
sar se chhin liya gaya
wo waba ke ibtidai din the
jab tum
mere qarib aain
aur waba KHatm hone se pahle
ruKHsat ho gain
tumhaare jaane par
sara qasba
udasi se bhar gaya
lekin
main apni aankhon mein
do bund aansu bhi
ikaTThe na kar saka
ek jhulasti sham mein
mujhe khurche hue
siyah lafzon ka wasiyyat-nama
unhon ne thamaya
jinhon ne
kisi raushan tehwar par
mujhe yaad nahin kiya tha
7
main yahan
ukhaDti sanson mein paiwand
lagate thak chuka hun
pushtaini siyah chadar
mere shane udheD rahi hai
ek din main
isi chadar mein lipTa
is zamin mein so jaunga
jahan
mujhe jaanne wala
koi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.