wahm
na jaane kyoñ ye lagtā hai
vo vāpas lauT aa.egā
mire hoñToñ ko chūmegā
mujhe siine lagā.egā
pakaḌ kar haath vo merā
vo apne haath meñ ik din
kahegā sab gile shikve bhulā kar
aage baḌhte haiñ
chalo ham saath chalte haiñ
kahīñ ham duur jā kar ke
na.ī duniyā basāte haiñ
mohabbat kā koī naġhma
baham ham gungunāte haiñ
magar sach aur hī kuchh hai
vo bilkul bhī nahīñ aisā
ki na hargiz vo aa.egā
na mere hoñT chūmegā
na siine se lagā.egā
faqat ye vahm merā hai
vo vāpas lauT aa.egā
na jaane kyon ye lagta hai
wo wapas lauT aaega
mere honTon ko chumega
mujhe sine lagaega
pakaD kar hath wo mera
wo apne hath mein ek din
kahega sab gile shikwe bhula kar
aage baDhte hain
chalo hum sath chalte hain
kahin hum dur ja kar ke
nai duniya basate hain
mohabbat ka koi naghma
baham hum gungunate hain
magar sach aur hi kuchh hai
wo bilkul bhi nahin aisa
ki na hargiz wo aaega
na mere honT chumega
na sine se lagaega
faqat ye wahm mera hai
wo wapas lauT aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.