wahshat
yahī dil thā kabhī
jo ḳhuun kī tarsīl par māmūr rahtā thā
dhaḌaktā to naved zindagī laatā
ab aisā hai
ragoñ kā jaal to vaise hī phailā hai mire andar
magar dil ḳhuun ke badle
farāvānī se bahte
dard kī gardish se jo behāl rahtā hai
to dhaḌkan Tiis ban kar
siine meñ ik vahshiyāna raqs kartī hai
inhī do intihāoñ par khaḌā
ye jism-o-jāñ kā silsila merā
kabhī jiine nahīñ detā
kabhī marne nahīñ detā
yahi dil tha kabhi
jo KHun ki tarsil par mamur rahta tha
dhaDakta to nawed zindagi lata
ab aisa hai
ragon ka jal to waise hi phaila hai mere andar
magar dil KHun ke badle
farawani se bahte
dard ki gardish se jo behaal rahta hai
to dhaDkan Tis ban kar
sine mein ek wahshiyana raqs karti hai
inhi do intihaon par khaDa
ye jism-o-jaan ka silsila mera
kabhi jine nahin deta
kabhi marne nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.