wajd
zindagī ghūmtī chakrātī hai bal khātī hai
aur phir vajd ke nuqte pe Thahar jaatī hai
dā.ere chaar taraf raqs-kunāñ rahte haiñ
dil-e-āvāra Thahar jaa.e jahāñ zaad ruke
raqs ke din pe chaḌhī gardish-e-hālāt kī dhuup
raqs be-ḳhud meñ mirā shauq-e-junūñ shāmil hai
jhūmtā nāchtā rahtā hai zamāna saarā
titliyāñ mor parinde to kahīñ āb-e-ravāñ
sham.a kī aañkh se bahte haiñ musalsal aañsū
aur sho.ale kī lapak par kahīñ mahke roTī
tez kirnoñ se kisī koh kī pighle chāñdī
dhuup aur chhāñv meñ lipTe hue chāroñ mausam
ik tamāshā hai ki zāhir hai nazar ke aage
dhuup ke rang ko lāzim hai siyāhī shab kī
aur siyāhī to nahīñ bhed se ḳhālī 'tashna'
lekin us bhed ko paane kī kahāñ koshish kī
ek lamhe meñ usī bhed kī lau shāmil hai
aur vahī vasl kā lamha to mirā hāsil hai
koī is pal se kaho hosh meñ laa.e mujh ko
niiñd aatī hai magar ishq jagā.e mujh ko
aañkh kī putlī siyah rang dikhā.e mujh ko
raqs-o-āhañg hī insān banā.e mujh ko
zindagī chāk-e-musalsal pe paḌī ghūmtī hai
jism roTī ke nivāloñ meñ phañsā.e mujh ko
tere qur.ān meñ bahtā huā sargam maḳhfī
aur zamzam ke liye ḳhaak ragaḌtī eḌī
duur mandir meñ kalīsāoñ meñ bajtī ghanTī
ghūmtā jaa.e falak aur ye zamīñ kī chakkī
aur is sab meñ mujhe ghar kā banā kar qaidī
nuur karte ho atā mujh ko banā kar miTTī
aañkh sotī hai to bātin ko jagā dete ho
tum pilāte ho magar pyaas baḌhā dete ho
aur 'tashna' jo kabhī vajd meñ allāh likhe
tum usī vajd ke nuqte ko miTā dete ho
aur na.e rang ke gulzār khilā dete ho
vajd ke nuqte pe ye raqs-e-jahāñ ruktā hai
vajd kā nuqta miTā do to vahad bachtā hai
zindagi ghumti chakraati hai bal khati hai
aur phir wajd ke nuqte pe Thahar jati hai
daere chaar taraf raqs-kunan rahte hain
dil-e-awara Thahar jae jahan zad ruke
raqs ke din pe chaDhi gardish-e-haalat ki dhup
raqs be-KHud mein mera shauq-e-junun shamil hai
jhumta nachta rahta hai zamana sara
titliyan mor parinde to kahin aab-e-rawan
shama ki aankh se bahte hain musalsal aansu
aur shoale ki lapak par kahin mahke roTi
tez kirnon se kisi koh ki pighle chandi
dhup aur chhanw mein lipTe hue chaaron mausam
ek tamasha hai ki zahir hai nazar ke aage
dhup ke rang ko lazim hai siyahi shab ki
aur siyahi to nahin bhed se KHali 'tashna'
lekin us bhed ko pane ki kahan koshish ki
ek lamhe mein usi bhed ki lau shamil hai
aur wahi wasl ka lamha to mera hasil hai
koi is pal se kaho hosh mein lae mujh ko
nind aati hai magar ishq jagae mujh ko
aankh ki putli siyah rang dikhae mujh ko
raqs-o-ahang hi insan banae mujh ko
zindagi chaak-e-musalsal pe paDi ghumti hai
jism roTi ke niwalon mein phansae mujh ko
tere quran mein bahta hua sargam maKHfi
aur zamzam ke liye KHak ragaDti eDi
dur mandir mein kalisaon mein bajti ghanTi
ghumta jae falak aur ye zamin ki chakki
aur is sab mein mujhe ghar ka bana kar qaidi
nur karte ho ata mujh ko bana kar miTTi
aankh soti hai to baatin ko jaga dete ho
tum pilate ho magar pyas baDha dete ho
aur 'tashna' jo kabhi wajd mein allah likhe
tum usi wajd ke nuqte ko miTa dete ho
aur nae rang ke gulzar khila dete ho
wajd ke nuqte pe ye raqs-e-jahan rukta hai
wajd ka nuqta miTa do to wahad bachta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.