wajud ki talash
maiñ apne vajūd ke ma.anī kho chukā huuñ
mujhe mohabbat kī talāsh hai
mohabbat ek poshāk hai
jis meñ kamar se lagā peT chhupāyā jā saktā hai
aañsū jazb ho sakte haiñ
mausamoñ kī shiddat se bachā jā saktā hai
maiñ apne vajūd ke ma.anī kho chukā huuñ
ho saktā hai
mere vajūd ke kabhī koī ma.anī rahe hī na hoñ
koī churā kar le gayā ho
kisī kī nigāh-e-nāz meñ
yā office Table kī darāz meñ rah ga.e hoñ
ho saktā hai
kisī bachche ko saḌak paar karvāte
bahār ke pahle phuul kā nazāra karte
yā koī nazm kahte
mujhe apne vajūd ke ma.anī mil jaa.eñ
main apne wajud ke mani kho chuka hun
mujhe mohabbat ki talash hai
mohabbat ek poshak hai
jis mein kamar se laga peT chhupaya ja sakta hai
aansu jazb ho sakte hain
mausamon ki shiddat se bacha ja sakta hai
main apne wajud ke mani kho chuka hun
ho sakta hai
mere wajud ke kabhi koi mani rahe hi na hon
koi chura kar le gaya ho
kisi ki nigah-e-naz mein
ya office Table ki daraaz mein rah gae hon
ho sakta hai
kisi bachche ko saDak par karwate
bahaar ke pahle phul ka nazara karte
ya koi nazm kahte
mujhe apne wajud ke mani mil jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.