wajud
batāo kaun gum huaa, vo ham-nafas gayā kahāñ
nuqūsh-e-pā sunā rahe haiñ aaj kis kī dāstāñ
ye raat, din ke silsile jo haiñ hamāre darmiyāñ
hamārī koī ibtidā na hai hamārī intihā
bas ik muhīb fāsla
bas ik ajiib silsila
ye jo bhī kuchh nazar meñ hai
safar meñ hai, safar meñ hai
jo rāzdān-e-vaqt the
unheñ kahīñ se laao ab
sañvār deñ jo zindagī jo āgahī atā kareñ
vo be-niyāz aadmī
ki jaise koī raushnī
vo hast-o-būd āshnā
vo jin kā ilm lā-zavāl o be-karāñ
na gum haiñ vo na duur haiñ
jo dil kī aañkh band ho to is meñ un kī kyā ḳhatā
batāo kaun gum huā vo ham-nafas gayā kahāñ
nuqūsh-e-pā sunā rahe haiñ aaj kis kī dāstāñ
batao kaun gum hua, wo ham-nafas gaya kahan
nuqush-e-pa suna rahe hain aaj kis ki dastan
ye raat, din ke silsile jo hain hamare darmiyan
hamari koi ibtida na hai hamari intiha
bas ek muhib fasla
bas ek ajib silsila
ye jo bhi kuchh nazar mein hai
safar mein hai, safar mein hai
jo raazdan-e-waqt the
unhen kahin se lao ab
sanwar den jo zindagi jo aagahi ata karen
wo be-niyaz aadmi
ki jaise koi raushni
wo hast-o-bud aashna
wo jin ka ilm la-zawal o be-karan
na gum hain wo na dur hain
jo dil ki aankh band ho to is mein un ki kya KHata
batao kaun gum hua wo ham-nafas gaya kahan
nuqush-e-pa suna rahe hain aaj kis ki dastan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.