waqt aur dariya
vaqt aur dariyā haiñ do chīzeñ judā
phir bhī in meñ mushtarak hai baat kyā
hai mizāj-e-vaqt-o-dariyā ek sā
vaqt guzrā aur dariyā bah gayā
vaqt guzrā vāpas aa saktā nahīñ
koī koshish se bhī lā saktā nahīñ
yūñhī dariyā kā jo paanī bah gayā
aaj tak vāpas na koī lā sakā
paanī to bah kar samundar meñ girā
aur vaqt āfāq meñ gum ho gayā
go ba-zāhir ek haiñ donoñ magar
farq ik bārīk aatā hai nazar
āb-e-dariyā bah ke jā pahuñchā jahāñ
lahlahātī haiñ vahāñ par khetiyāñ
ya.anī paanī jis jagah ho kar bahā
phir vahāñ ifrāt se sabza ugā
ya.anī jis jā se guzar jaatā hai ye
vo zamīñ zarḳhez kar jaatā hai ye
ya.anī bah kar ye bahar-sūrat 'nisār'
chhoḌtā hai apne pīchhe sabza-zār
vaqt hī kā masraf-e-jā.ez 'nisār'
bāġh-e-hastī ko hai kartā pur-bahār
haañ magar jab rā.egāñ jaatā hai vaqt
chhoḌ kar vīrāniyāñ jaatā hai vaqt
waqt aur dariya hain do chizen juda
phir bhi in mein mushtarak hai baat kya
hai mizaj-e-waqt-o-dariya ek sa
waqt guzra aur dariya bah gaya
waqt guzra wapas aa sakta nahin
koi koshish se bhi la sakta nahin
yunhi dariya ka jo pani bah gaya
aaj tak wapas na koi la saka
pani to bah kar samundar mein gira
aur waqt aafaq mein gum ho gaya
go ba-zahir ek hain donon magar
farq ek barik aata hai nazar
aab-e-dariya bah ke ja pahuncha jahan
lahlahati hain wahan par khetiyan
yani pani jis jagah ho kar baha
phir wahan ifraat se sabza uga
yani jis ja se guzar jata hai ye
wo zamin zarKHez kar jata hai ye
yani bah kar ye bahar-surat 'nisar'
chhoDta hai apne pichhe sabza-zar
waqt hi ka masraf-e-jaez 'nisar'
bagh-e-hasti ko hai karta pur-bahaar
han magar jab raegan jata hai waqt
chhoD kar viraniyan jata hai waqt
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.