waqt
bas aur ghaḌī do ghaḌī sahī
phir vaqt ke pyāle se girtī
hastī kī riit ko
pyāla ḳhālī karnā hai
har baazī vaqt kī baazī thī
har baazī par shah maat huī
ab dāman jhaaḌ ke uTTheñge
saarī mehnat barbād huī
ḳhushnūdī-e-vaqt kī ḳhātir ham
bas kyā kyā baar uThāte haiñ
ham aas kī shabnam bote haiñ
aur yaas ke sahrā paate haiñ
zāhir meñ to himmat oḌhe haiñ
aur andar TūTte jaate haiñ
ye ilm kī tāqat
dil kī sadāqat
qalam kī himmat
apne liye sab nā-samjhī kī bāteñ haiñ
ye jāh-o-hasham bhī un ke haiñ
jo shādābī ke paale haiñ
apnī to himmat sarf huī
saarī mehnat barbād huī
jo dil ke tahoñ meñ TuuT gayā
jo andar andar biit ga.ī
us kāhish-e-jāñ kā zikr hī kyā
ab muTThī ret kī baazī hai
so kaun sī aisī baazī hai
ab haar aur jiit kī fikr hī kyā
sab jaan liyā sab dekh liyā
jab sab raste be-manzil haiñ
jab sab lamhe patthar-dil haiñ
jab socheñ sab lā-hāsil haiñ
phir kyā socheñ phir kyoñ socheñ
lo ham ḳhud apnī muTThī se ye ret girā.e dete haiñ
yā Thahr ke samjhe vaqt hameñ
yā ham Thahrā.e dete haiñ
bas aur ghaDi do ghaDi sahi
phir waqt ke pyale se girti
hasti ki rit ko
pyala KHali karna hai
har bazi waqt ki bazi thi
har bazi par shah mat hui
ab daman jhaD ke uTThenge
sari mehnat barbaad hui
KHushnudi-e-waqt ki KHatir hum
bas kya kya bar uThate hain
hum aas ki shabnam bote hain
aur yas ke sahra pate hain
zahir mein to himmat oDhe hain
aur andar TuTte jate hain
ye ilm ki taqat
dil ki sadaqat
qalam ki himmat
apne liye sab na-samjhi ki baaten hain
ye jah-o-hasham bhi un ke hain
jo shadabi ke pale hain
apni to himmat sarf hui
sari mehnat barbaad hui
jo dil ke tahon mein TuT gaya
jo andar andar bit gai
us kahish-e-jaan ka zikr hi kya
ab muTThi ret ki bazi hai
so kaun si aisi bazi hai
ab haar aur jit ki fikr hi kya
sab jaan liya sab dekh liya
jab sab raste be-manzil hain
jab sab lamhe patthar-dil hain
jab sochen sab la-hasil hain
phir kya sochen phir kyon sochen
lo hum KHud apni muTThi se ye ret girae dete hain
ya Thahr ke samjhe waqt hamein
ya hum Thahrae dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.