waqt bhi marham nahin hai
mujhe saañp sīḌhī ke
is khel se
aaj ghin aa rahī hai
mire dil ke pāñse pe khode ga.e
ye adad
mujh ko mahdūd karne lage haiñ
bisāt-e-ziyāñ par
mire ḳhvāb kā reshmī azhdahā
chaal ke pairahan ko nigalne lagā hai
merī jast kī sīḌhiyāñ
soḳhta haDDiyoñ kī tarah
bhurnhurī ho ke
jhaḌne lagī haiñ
khel hī khel meñ
sabz chaukor ḳhāne
kisī qabr kī chaar dīvār ban kar
mirā dam nigalne lage haiñ
so ai vaqt!
mere muqābil khilāḌī
aaj se tū bhī āzād hai
maiñ bhī āzād huuñ
mujhe sanp siDhi ke
is khel se
aaj ghin aa rahi hai
mere dil ke panse pe khode gae
ye adad
mujh ko mahdud karne lage hain
bisat-e-ziyan par
mere KHwab ka reshmi azhdaha
chaal ke pairahan ko nigalne laga hai
meri jast ki siDhiyan
soKHta haDDiyon ki tarah
bhurnhuri ho ke
jhaDne lagi hain
khel hi khel mein
sabz chaukor KHane
kisi qabr ki chaar diwar ban kar
mera dam nigalne lage hain
so ai waqt!
mere muqabil khilaDi
aaj se tu bhi aazad hai
main bhi aazad hun
- Book : Vaqt ki qiad se (Pg. 75)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.