Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt bita hai magar

apne biite hue lamhoñ ke darīchoñ se mujhe

duur tak ḳhvāb ke vīrāne nazar aate haiñ

apnī sochī huī bātoñ pe hañsī aatī hai

tere va.ade mujhe afsāne nazar aate haiñ

itne aañsū mirī palkoñ meñ ubhar aa.e haiñ

Dūbtā jaatā huuñ har buuñd gahrā.ī meñ

kyā mayassar ho sukūn-e-dil-o-dīda mujh ko

talḳhī-e-dard se sahmī huī tanhā.ī meñ

merī aahoñ ke pas-e-parda Dhaleñge naġhme

aur kuchh ġham zarūrat hai tarannum ke liye

husn ban kar lab-e-la.alīñ pe bikhar jā.ūñgā

rañg de jā.ūñgā afsurda tabassum ke liye

terī duniyā hai chamakte hue shīshoñ mahal

jis ko hālāt ke dhāre nahīñ chhūne paa.e

terī afshāñ meñ sitāre meñ farozāñ kyā kyā

ġham ke bādal ye sitāre nahīñ chhūne paa.e

merī hamdam tirī duniyā se nahīñ kuchh matlab

mujh ko to pyaar hai apne inhīñ vīrānoñ se

haañ magar tujh se mirī duniyā meñ hai qaus-e-quzah

goyā afsāna judā hai tire afsānoñ se

dil ke shīshe meñ tirā aks hai aur kuchh bhī nahīñ

mirā ḳhvāb bhī hai ḳhvāb ta.abīr bhī hai

ye tirā tark-e-ta.alluq bhī hai ik rabt-e-ḳhāmosh

merī jaañ dekh tire paañv meñ zanjīr bhī hai

mere ehsās ke zaḳhmoñ muqaddar jaage

tujh meñ pahle se vo andāz nazar lauT aa.eñ

vaqt biitā hai magar umr nahīñ biitī hai

jo chāhe to vahī shām-o-sahar lauT aa.eñ

apne bite hue lamhon ke darichon se mujhe

dur tak KHwab ke virane nazar aate hain

apni sochi hui baaton pe hansi aati hai

tere wade mujhe afsane nazar aate hain

itne aansu meri palkon mein ubhar aae hain

Dubta jata hun har bund ki gahrai mein

kya mayassar ho sukun-e-dil-o-dida mujh ko

talKHi-e-dard se sahmi hui tanhai mein

meri aahon ke pas-e-parda Dhalenge naghme

aur kuchh gham ki zarurat hai tarannum ke liye

husn ban kar lab-e-lalin pe bikhar jaunga

rang de jaunga afsurda tabassum ke liye

teri duniya hai chamakte hue shishon ka mahal

jis ko haalat ke dhaare nahin chhune pae

teri afshan mein sitare mein farozan kya kya

gham ke baadal ye sitare nahin chhune pae

meri hamdam teri duniya se nahin kuchh matlab

mujh ko to pyar hai apne inhin viranon se

han magar tujh se meri duniya mein hai qaus-e-quzah

goya afsana juda hai tere afsanon se

dil ke shishe mein tera aks hai aur kuchh bhi nahin

tu mera KHwab bhi hai KHwab ki tabir bhi hai

ye tera tark-e-talluq bhi hai ek rabt-e-KHamosh

meri jaan dekh tere panw mein zanjir bhi hai

mere ehsas ke zaKHmon ka muqaddar jage

tujh mein pahle se wo andaz nazar lauT aaen

waqt bita hai magar umr nahin biti hai

tu jo chahe to wahi sham-o-sahar lauT aaen

Source :
  • Book : Dard aashna (Pg. 29)
  • Author : Abdullah Sajid
  • Publication : Abdullah Sajid
ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now