waqt ek mahbub hai
ajab mahbūbiyat sī vaqt kī fitrat meñ hotī hai
kabhī dil ko lubhātā hai
to phir us kī ināyat kā tasalsul kam nahīñ hotā
musalsal abr-e-rahmat kī tarah
dil kī darāḌoñ meñ bhī rastā hai
mohabbat kī piyāsī sarzamīñ sairāb kartā hai
kabhī din kī sabāhat zeb-e-tan kar ke
ujāle bāñTtā hai
aur kabhī kaalī ridā.eñ oḌh kar
shab ke sukūt-e-jāñ-fizā meñ saañs letā hai
kabhī ye paas aa kar baiTh jaatā hai
ye kahtā hai
chalo guzre zamāne kī mohabbat yaad karte haiñ
to mere zehn-āñgan meñ
yādeñ bachpanā aur phir laḌakpan oḌh kar
itrā ke chaltī haiñ
koī dil ke kivāḌoñ ko
achānak nīm-vā kar ke zarā sā muskurātā hai
mirī banjar zamīnoñ par tarāvat ātī-jātī hai
kasāfat dhultī jaatī hai
kabhī ye chalte chalte dauḌ kar aage nikaltā hai
ki aao aur mujhe chhū lo
magar maiñ nā-rasā.ī-āshnā
us se hamesha do-qadam pīchhe hī rahtā huuñ
kabhī bāheñ gale meñ Daal detā hai
baḌī mahjūb sī nazroñ se taktā hai
to ġham kī sañglāḳhī meñ darāḌeñ Daal detā hai
kabhī ik sham.a raushan kar ke kahtā hai
lapaktī dauḌtī is zindagī meñ
aaj tum kitne baras ke ho
achānak ruuTh jaatā hai
koī minnat koī zaarī nahīñ suntā
kisī sūrat nahīñ mantā
use apnā banāo bhī
to ye apnā nahīñ rahtā
kabhī ye dastaras meñ hī nahīñ rahtā
havā par paañv rakhtā hai
ḳhalā meñ phail jaatā hai
had-e-imkān se bāhar nikaltā hai
makāñ se lā-makāñ tak jis qadar vus.at mayassar hai
vahāñ tak jhilmilātā hai
maiñ sar-tā-pā tahayyur huuñ
magar us kī tilismī qaid meñ ḳhush huuñ
usī zindāñ meñ rahtā huuñ
usī meñ saañs letā huuñ
ajab mahbubiyat si waqt ki fitrat mein hoti hai
kabhi dil ko lubhata hai
to phir us ki inayat ka tasalsul kam nahin hota
musalsal abr-e-rahmat ki tarah
dil ki daraDon mein bhi rasta hai
mohabbat ki piyasi sarzamin sairab karta hai
kabhi din ki sabahat zeb-e-tan kar ke
ujale banTta hai
aur kabhi kali ridaen oDh kar
shab ke sukut-e-jaan-fiza mein sans leta hai
kabhi ye pas aa kar baiTh jata hai
ye kahta hai
chalo guzre zamane ki mohabbat yaad karte hain
to mere zehn-angan mein
yaaden bachpana aur phir laDakpan oDh kar
itra ke chalti hain
koi dil ke kiwaDon ko
achanak nim-wa kar ke zara sa muskuraata hai
meri banjar zaminon par tarawat aati-jati hai
kasafat dhulti jati hai
kabhi ye chalte chalte dauD kar aage nikalta hai
ki aao aur mujhe chhu lo
magar main na-rasai-ashna
us se hamesha do-qadam pichhe hi rahta hun
kabhi bahen gale mein Dal deta hai
baDi mahjub si nazron se takta hai
to gham ki sanglaKHi mein daraDen Dal deta hai
kabhi ek shama raushan kar ke kahta hai
lapakti dauDti is zindagi mein
aaj tum kitne baras ke ho
achanak ruTh jata hai
koi minnat koi zari nahin sunta
kisi surat nahin manta
use apna banao bhi
to ye apna nahin rahta
kabhi ye dastaras mein hi nahin rahta
hawa par panw rakhta hai
KHala mein phail jata hai
had-e-imkan se bahar nikalta hai
makan se la-makan tak jis qadar wusat mayassar hai
wahan tak jhilmilata hai
main sar-ta-pa tahayyur hun
magar us ki tilismi qaid mein KHush hun
usi zindan mein rahta hun
usi mein sans leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.