waqt ki chiz
sab jise intihā kaheñ tū use ibtidā samajh
ho na isī samajh pe ḳhush yūñhī baḌhā.e jā samajh
zauq-e-safar ghaTā na de log kaheñ jo nā-samajh
hāsil-e-mudda.ā ko bhī partav-e-mudda.ā samajh
aur bulandiyoñ pe jā raaz uruuj kā samajh
dil meñ hai dard-e-qaum agar qaum kī jald le ḳhabar
qaum se haiñ jo be-ḳhabar qaum kī un ko de ḳhabar
soch ki apnī qaum se kaun hai aaj be-ḳhabar
kaam kā aadmī mile yā na mile kise ḳhabar
kyā nahīñ tū ḳhud aadmī ḳhud ko hī kaam kā samajh
tere hudūd meñ kahīñ aa.iiñ nazar na pastiyāñ
lā.eq-e-e'tinā na hoñ ġhairoñ kī chīra-dastiyāñ
darḳhor-e-iltifāt hoñ kyoñ ye zalīl hastiyāñ
jis kī ḳhudī pe chhīn liiñ qaum kī ḳhud-parastiyāñ
aise ḳhudī-navāz ko qaum kā rahnumā samajh
quvvat-e-zar se jo bashar aa.ī balā ko Taal de
us kī karāmatoñ meñ jis aur bhī zul-jalāl de
us se agar hai bad-zanī dil meñ to ab nikāl de
qaum kī muflisī ko jo maʻriẓ-e-shak meñ Daal de
aise bhī māl-dār ko makramat-āshnā samajh
tū na rakh itnī hub-e-zar dil meñ magar ye rakh ḳhayāl
vaqt kī chiiz ban ga.ī aaj numūd-e-jāh-o-māl
tere numūd par kare faḳhr har ek bā-kamāl
izzat-e-qaum kā hai juz izzat-e-nafs kā savāl
apne bhī irtiqā ko tū qaum kā irtiqā samajh
sab jise intiha kahen tu use ibtida samajh
ho na isi samajh pe KHush yunhi baDhae ja samajh
zauq-e-safar ghaTa na de log kahen jo na-samajh
hasil-e-muddaa ko bhi partaw-e-muddaa samajh
aur bulandiyon pe ja raaz uruj ka samajh
dil mein hai dard-e-qaum agar qaum ki jald le KHabar
qaum se hain jo be-KHabar qaum ki un ko de KHabar
soch ki apni qaum se kaun hai aaj be-KHabar
kaam ka aadmi mile ya na mile kise KHabar
kya nahin tu KHud aadmi KHud ko hi kaam ka samajh
tere hudud mein kahin aain nazar na pastiyan
laeq-e-e'tina na hon ghairon ki chira-dastiyan
darKHor-e-iltifat hon kyon ye zalil hastiyan
jis ki KHudi pe chhin lin qaum ki KHud-parastiyan
aise KHudi-nawaz ko qaum ka rahnuma samajh
quwwat-e-zar se jo bashar aai bala ko Tal de
us ki karamaton mein jis aur bhi zul-jalal de
us se agar hai bad-zani dil mein to ab nikal de
qaum ki muflisi ko jo maʻriẓ-e-shak mein Dal de
aise bhi mal-dar ko makramat-ashna samajh
tu na rakh itni hub-e-zar dil mein magar ye rakh KHayal
waqt ki chiz ban gai aaj numud-e-jah-o-mal
tere numud par kare faKHr har ek ba-kamal
izzat-e-qaum ka hai juz izzat-e-nafs ka sawal
apne bhi irtiqa ko tu qaum ka irtiqa samajh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.