waqt ki rail gaDi
maiñ tujhe DhūñDne niklā ghar se
aur apnā hī pata bhuul gayā
ab na vo tū hai na maiñ
na vo rāsta hai na peḌ
na vo mandir hai
na kuTiyā
na charāġh
ab na vo tū hai na maiñ
aur vo log kahāñ kaise haiñ
maiñ jinheñ bhuul ke ḳhush huuñ
jo mujhe yaad bhī aa.eñ
kaisī dīvār hai ye nīm-faramoshī kī
aao dīvār girā.eñ
aur agar ye na gire
aao DhūñDheñ
yahīñ hoñge kahīñ riimā jauzaf…
maiñ tire kurte kā dāman thāmūñ
aao ham rail banā.eñ
aao ham rail ko pīchhe le jaa.eñ
main tujhe DhunDne nikla ghar se
aur apna hi pata bhul gaya
ab na wo tu hai na main
na wo rasta hai na peD
na wo mandir hai
na kuTiya
na charagh
ab na wo tu hai na main
aur wo log kahan kaise hain
main jinhen bhul ke KHush hun
jo mujhe yaad bhi aaen
kaisi diwar hai ye nim-faramoshi ki
aao diwar giraen
aur agar ye na gire
aao DhunDhen
yahin honge kahin rima jauzaf…
main tere kurte ka daman thamun
aao hum rail banaen
aao hum rail ko pichhe le jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.