waqt kitna zalim hai
ai ajal-rasīda dil
tū mujhe kahāñ laayā
kyā yahī jagah hai vo
kal jahāñ hasīñ chehre
shoḳh dilrubā naġhme
saaz par umangoñ ke
jhuum jhuum jaate the
duur us pahāḌī ke
ḳhushnumā se Tiile par
baaġh ek phailā thā
jhiil kā tarannum thā
husn thā javānī thī
kaif thā fazāoñ meñ
shoḳhiyāñ havāoñ meñ
kal yahāñ kī har ik shai
thī javān aur ḳhush-kun
thā bahār kā aalam
aaj un kī yādoñ kī
raakh sirf uḌtī hai
miT ga.e hasīñ chehre
is zamīñ ke zarroñ meñ
kho ga.ī fazāoñ meñ
phuul kī madhur ḳhushbū
vaqt kī ye karvaT bhī
kis qadar anokhī hai
vaqt kitnā jābir hai
vaqt kitnā zālim hai
ai ajal-rasida dil
tu mujhe kahan laya
kya yahi jagah hai wo
kal jahan hasin chehre
shoKH dilruba naghme
saz par umangon ke
jhum jhum jate the
dur us pahaDi ke
KHushnuma se Tile par
bagh ek phaila tha
jhil ka tarannum tha
husn tha jawani thi
kaif tha fazaon mein
shoKHiyan hawaon mein
kal yahan ki har ek shai
thi jawan aur KHush-kun
tha bahaar ka aalam
aaj un ki yaadon ki
rakh sirf uDti hai
miT gae hasin chehre
is zamin ke zarron mein
kho gai fazaon mein
phul ki madhur KHushbu
waqt ki ye karwaT bhi
kis qadar anokhi hai
waqt kitna jabir hai
waqt kitna zalim hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.