waqt
vo chaltā rahā
is kurra-e-arz kī geñd par
ek paañv rakkhe
dūsrā paañv is kā ḳhalā meñ…
geñd aage baḌhāte hue
tavāzun bhī qaa.em rahe…
qayāmat ko Taale hue…
vo chaltā rahā
ziist aur maut ke dā.ere khīñchtā…
ek hī samt meñ
ek raftār se
kisī bāzīgar
ek circus ke naT kī tarah
chāñd sūraj sitāroñ ke gole
kabhī donoñ hāthoñ se un ko uchhāle
kabhī apne shānoñ pe...
sar par sambhāle hue
kabhī guuñj meñ tāliyoñ kī
be-niyāzāna chaltā ho
haath patlūn kii...
donoñ jeboñ meñ Daale hue…
wo chalta raha
is kurra-e-arz ki gend par
ek panw rakkhe
dusra panw is ka KHala mein…
gend aage baDhate hue
tawazun bhi qaem rahe…
qayamat ko Tale hue…
wo chalta raha
zist aur maut ke daere khinchta…
ek hi samt mein
ek raftar se
kisi bazigar
ek circus ke naT ki tarah
chand suraj sitaron ke gole
kabhi donon hathon se un ko uchhaale
kabhi apne shanon pe
sar par sambhaale hue
kabhi gunj mein taliyon ki
be-niyazana chalta ho
hath patlun ki
donon jebon mein Dale hue…
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.