waqt
vaqt apnā bhī hai parāyā bhī
ye kaḌī dhuup bhī hai saayā bhī
gaah rotoñ ko vo hañsātā hai
gaah hañstoñ ko vo rulātā hai
chhīn kar apnoñ ko vo jaatā hai
kabhī bichhḌoñ ko vo milātā hai
ġham ke naġhme kabhī sunātā hai
kabhī ḳhushiyoñ ke giit gaatā hai
hai vo barkhā bahār kī sūrat
aur kabhī hai ḳhizāñ-zada mūrat
raushnī hai kabhī kabhī zulmat
hai mohabbat bhī vo kabhī fursat
hādse us ke saath rahte haiñ
charḳh tak us ke haath rahte haiñ
raaz ye jānñā nahīñ āsāñ
is ko pahchānñā nahīñ āsāñ
hai vo aashā bhī aur nirāshā bhī
sau tamāshoñ kā ik tamāshā bhī
vaqt par jo nigāh kartā hai
vaqt us se nibāh kartā hai
waqt apna bhi hai paraya bhi
ye kaDi dhup bhi hai saya bhi
gah roton ko wo hansata hai
gah hanston ko wo rulata hai
chhin kar apnon ko wo jata hai
kabhi bichhDon ko wo milata hai
gham ke naghme kabhi sunata hai
kabhi KHushiyon ke git gata hai
hai wo barkha bahaar ki surat
aur kabhi hai KHizan-zada murat
raushni hai kabhi kabhi zulmat
hai mohabbat bhi wo kabhi fursat
hadse us ke sath rahte hain
charKH tak us ke hath rahte hain
raaz ye jaanna nahin aasan
is ko pahchanna nahin aasan
hai wo aasha bhi aur nirasha bhi
sau tamashon ka ek tamasha bhi
waqt par jo nigah karta hai
waqt us se nibah karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.