waqt waqt ki baat hai
vahī ham the ki us shahar-e-sukūñ meñ
rat-jagoñ kī dhuum thī ham se
vahī ham haiñ ki shahr-e-be-amāñ kī bhiiḌ meñ
ḳhud apnī tanhā.ī pe hairāñ haiñ
hamārā jabr-e-majbūrī
hameñ jab sabr āmāda banātā hai
to āñkheñ is qadar sho.ale ugaltī haiñ
ki ḳhāmoshī bhī ik
shor-e-fuġhāñ ma.alūm hotī hai
wahi hum the ki us shahar-e-sukun mein
rat-jagon ki dhum thi hum se
wahi hum hain ki shahr-e-be-aman ki bhiD mein
KHud apni tanhai pe hairan hain
hamara jabr-e-majburi
hamein jab sabr aamada banata hai
to aankhen is qadar shoale ugalti hain
ki KHamoshi bhi ek
shor-e-fughan malum hoti hai
- Book : Qarz-e-jan (Pg. 152)
- Author : Rashid Azar
- Publication : Rashid Azar (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.