washkuru li wa-la-takfurun
āsmāñ par garm sūraj ke bhayānak qahqahe
dauḌtī thiiñ zahr lahreñ saañs khul kar kaun le
aag ke dariyā ravāñ sab shāhrāheñ rāste
jal rahī thiiñ dhuup kī bārish meñ saarī khetiyāñ
sar uThā.e zard-rū sūkhī nukīlī jhāḌiyāñ
aur un ke darmiyāñ
nāchtī thiiñ be-hayā kam-zarf nangī Dā.ineñ
chīḳh bad-rūheñ suneñ kyā tai kiyā chupke raheñ
be-zabānī kī vasātat se kaheñ
joḌ kar dast-e-savāl
ai ḳhudā-e-zul-jalāl
ḳhatm tujh par har kamāl
sā’ateñ phailā rahī haiñ maut kī nīñdoñ kā jaal
jāgtī jiitī magar ik terī zaat
roz-e-raushan ho ki raat
ik faqat tujh ko sabāt
kaun degā māsivā tere najāt
abr ban kar saaya kar de
sabz kar de khetiyāñ
aa hamārī soch meñ aa
tū hamāre haath ho jā tū zabāñ
ḳhāliq-e-arz-o-samā
narm miTTī kī ridā sar se haTā.e
dekhtī haiñ koñpleñ palkeñ uThā.e
ab kisānoñ kā tasavvur chhū rahā hai bāliyāñ
muskurā āñkheñ milā sharmā.e haiñ ghar-vāliyāñ
saj rahī haiñ thāliyāñ
baj rahī haiñ tāliyāñ
hañs rahī haiñ gā rahī haiñ sāliyāñ
ab du'ā.eñ ho ga.ī haiñ mīThī khaTTī gāliyāñ
āsmāñ par ai ḳhudā terā jalāl
aur zamīñ merī huī gahvāra-e-amn-o-amāñ
paak bad-rūhoñ se hai merā jahāñ
aasman par garm suraj ke bhayanak qahqahe
dauDti thin zahr lahren sans khul kar kaun le
aag ke dariya rawan sab shahrahen raste
jal rahi thin dhup ki barish mein sari khetiyan
sar uThae zard-ru sukhi nukili jhaDiyan
aur un ke darmiyan
nachti thin be-haya kam-zarf nangi Dainen
chiKH bad-ruhen sunen kya tai kiya chupke rahen
be-zabani ki wasatat se kahen
joD kar dast-e-sawal
ai KHuda-e-zul-jalal
KHatm tujh par har kamal
sa’aten phaila rahi hain maut ki nindon ka jal
jagti jiti magar ek teri zat
roz-e-raushan ho ki raat
ek faqat tujh ko sabaat
kaun dega masiwa tere najat
abr ban kar saya kar de
sabz kar de khetiyan
aa hamari soch mein aa
tu hamare hath ho ja tu zaban
KHaliq-e-arz-o-sama
narm miTTi ki rida sar se haTae
dekhti hain konplen palken uThae
ab kisanon ka tasawwur chhu raha hai baaliyan
muskura aankhen mila sharmae hain ghar-waliyan
saj rahi hain thaaliyan
baj rahi hain taliyan
hans rahi hain ga rahi hain saliyan
ab du'aen ho gai hain miThi khaTTi galiyan
aasman par ai KHuda tera jalal
aur zamin meri hui gahwara-e-amn-o-aman
pak bad-ruhon se hai mera jahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.