wasiyyat
Interesting Fact
(To his son upon the death of Shad Arfi)
guDDū beTe rote kyuuñ ho
qissa sunñe kī ḳhvāhish hai
achchhā apne aañsū poñchho
lo ham ik qissa kahte haiñ
iksaTh saal guzarte haiñ
afġhānoñ kī ik bastī meñ laDDan-ḳhāñ ne janm liyā thā
dāroġha ke beTe the vo naanā un ke maulānā the
khātā-pītā ghar thā un kā
laDDan-ḳhāñ achchhe bachche the bilkul vaise jaise tum ho
un ke ghar vaale bhī un se utnī hī ulfat karte the jitnī ham tum se karte haiñ
jab vo thoḌe baḌe hue to
naanā un ko maktab meñ dāḳhil kar aa.e
laDDan-ḳhāñ ne paḌhnā sīkhā
likhnā sīkhā laḌnā sīkhā āḳhir vo afġhānī bhī the
chaudah pañdrah barsoñ hī meñ laDDan-ḳhāñ ko ye be-fikrī raas na aa.ī
naanā aur abbū donoñ ne laDDan-ḳhāñ se kaTTī kar lī
marnā jiinā tum kyā samjho
tab majbūran
laDDan-ḳhāñ ne paḌhnā chhoḌā
apne ghar se naanā joḌā
Tuition karte lashTam-pashTam apne ghar kā ḳharch chalāte
un kī ammāñ ko raaja se thoḌī sī pension miltī thī kaam kisī sūrat chal jaatā
maañ ne un kī shādī kar dī
lekin biivī ḳhush-qismat thī jis ne jald hī ka.ī kar lī
guDDū beTe
honī ho kar hī rahtī hai
maktab meñ rah kar laDDan-ḳhāñ ġhazleñ kahnā siikh chuke the
afġhānī hone ke naate logoñ se Darte bhī nahīñ the
apnī ġhazloñ meñ nazmoñ meñ tīkhī tīkhī bāteñ kahte logoñ par phabtī kaste the
apne hoñ yā ġhair sabhī par
sach kahne meñ sach likhne meñ baak na karte ye to ek nasha hotā hai
bas phir kyā thā apne ġhair sabhī un ke dushman ban baiThe
Tuition chhūTe vī-menī kī vī-menī se munshī-gīrī
dar dar bhaTke baaz na aa.e
kaḌvī tīkhī ġhazleñ nazmeñ kah kah kar ambār lagāyā
itne se bhī chal saktā thā
lekin vo to rāja-jī par phabtī kas kar ammī kī pension le Duube
bolo un kī kyā aTkī thī raaja jo kuchh bhī kartā thā laDDan-ḳhāñ se kyā matlab thā
ammī bechārī is ġham meñ kuḌh kuḌh kar pardes sidhārīñ yuuñ samjho bas ruuTh ga.iiñ vo laDDan-ḳhāñ se
lekin beTā marne meñ paise lagte haiñ laDDan-ḳhāñ ne ghar bhī bechā
aage pīchhe koī nahīñ thā ab to laDDan-ḳhāñ khul-khele
sachchī sachchī bāteñ kah kar kaḌvī tīkhī ġhazleñ likh kar zahr-ālūda nazmeñ paḌh kar
ek sire se sab logoñ ko dushman-dar-dushman kar baiThe
saarī duniyā dushman ho to laDDan-ḳhāñ bachte bhī kaise
sab ne mil kar gherā Daalā
aage dushman pīchhe dushman daa.eñ dushman baa.eñ dushman uupar dushman nīche dushman
laDDan-ḳhāñ meñ aql nahīñ thī ab bhī chiknī-chupḌī bāteñ kar ke chupke se bach lete
laDDan-ḳhāñ ne apnī ġhazleñ apnī nazmeñ saarī chīzeñ chhoḌ kar
chupke se mar jaane hī ko behtar jaanā
guDDū mere pyāre beTe
mere raaj dulāre beTe
dekho tum ġhazleñ mat kahnā
beTe tum nazmeñ mat likhnā
likhnā hī paḌ jaa.e to phir sach mat likhnā
dekho beTā
sach mat likhnā
sach mat likhnā
guDDu beTe rote kyun ho
qissa sunne ki KHwahish hai
achchha apne aansu ponchho
lo hum ek qissa kahte hain
iksaTh sal guzarte hain
afghanon ki ek basti mein laDDan-KHan ne janm liya tha
darogha ke beTe the wo nana un ke maulana the
khata-pita ghar tha un ka
laDDan-KHan achchhe bachche the bilkul waise jaise tum ho
un ke ghar wale bhi un se utni hi ulfat karte the jitni hum tum se karte hain
jab wo thoDe baDe hue to
nana un ko maktab mein daKHil kar aae
laDDan-KHan ne paDhna sikha
likhna sikha laDna sikha aaKHir wo afghani bhi the
chaudah pandrah barson hi mein laDDan-KHan ko ye be-fikri ras na aai
nana aur abbu donon ne laDDan-KHan se kaTTi kar li
marna jina tum kya samjho
tab majburan
laDDan-KHan ne paDhna chhoDa
apne ghar se nana joDa
Tuition karte lashTam-pashTam apne ghar ka KHarch chalate
un ki amman ko raja se thoDi si pension milti thi kaam kisi surat chal jata
man ne un ki shadi kar di
lekin biwi KHush-qismat thi jis ne jald hi kai kar li
guDDu beTe
honi ho kar hi rahti hai
maktab mein rah kar laDDan-KHan ghazlen kahna sikh chuke the
afghani hone ke nate logon se Darte bhi nahin the
apni ghazlon mein nazmon mein tikhi tikhi baaten kahte logon par phabti kaste the
apne hon ya ghair sabhi par
sach kahne mein sach likhne mein bak na karte ye to ek nasha hota hai
bas phir kya tha apne ghair sabhi un ke dushman ban baiThe
Tuition chhuTe wi-meni ki wi-meni se munshi-giri
dar dar bhaTke baz na aae
kaDwi tikhi ghazlen nazmen kah kah kar ambar lagaya
itne se bhi chal sakta tha
lekin wo to raja-ji par phabti kas kar ammi ki pension le Dube
bolo un ki kya aTki thi raja jo kuchh bhi karta tha laDDan-KHan se kya matlab tha
ammi bechaari is gham mein kuDh kuDh kar pardes sidhaarin yun samjho bas ruTh gain wo laDDan-KHan se
lekin beTa marne mein paise lagte hain laDDan-KHan ne ghar bhi becha
aage pichhe koi nahin tha ab to laDDan-KHan khul-khele
sachchi sachchi baaten kah kar kaDwi tikhi ghazlen likh kar zahr-aluda nazmen paDh kar
ek sire se sab logon ko dushman-dar-dushman kar baiThe
sari duniya dushman ho to laDDan-KHan bachte bhi kaise
sab ne mil kar ghera Dala
aage dushman pichhe dushman daen dushman baen dushman upar dushman niche dushman
laDDan-KHan mein aql nahin thi ab bhi chikni-chupDi baaten kar ke chupke se bach lete
laDDan-KHan ne apni ghazlen apni nazmen sari chizen chhoD kar
chupke se mar jaane hi ko behtar jaana
guDDu mere pyare beTe
mere raj dulare beTe
dekho tum ghazlen mat kahna
beTe tum nazmen mat likhna
likhna hi paD jae to phir sach mat likhna
dekho beTa
sach mat likhna
sach mat likhna
- Book : kamaan (Pg. 360)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.