wasl ki jo KHwahish hai
ye bahut rulātī hai rāt-bhar jagātī hai
chain lene detī hai aur na rone detī hai
yuuñ to ek muddat se
tum se ham haiñ begāna
saath chalte rahne kā na to koī va.ada hai
phir bhī dil meñ jaane kyuuñ ik ḳhalish sī rahtī hai
dil meñ ye ḳhayāl aksar aa ke Thahar jaatā hai
saath saath chalte ham zindagī ke rastoñ par
har safar hañsī hotā tum jo mere saath hote
lekin ai mire rahbar
ab to ḳhauf us kā hai ḳhvāb meñ jo aa.e tum
aur be-ḳhayālī meñ naam jo liyā ham ne
sab hī chauñk jā.eñge mustaqil savāloñ se
lā-javāb kar deñge
is liye mere jaanā
vasl kī jo ḳhvāhish hai
is ko bhuul jaatī huuñ
aur tumhārī yādoñ se
ab vidā.a letī huuñ
ye bahut rulati hai raat-bhar jagati hai
chain lene deti hai aur na rone deti hai
yun to ek muddat se
tum se hum hain begana
sath chalte rahne ka na to koi wada hai
phir bhi dil mein jaane kyun ek KHalish si rahti hai
dil mein ye KHayal aksar aa ke Thahar jata hai
sath sath chalte hum zindagi ke raston par
har safar hansi hota tum jo mere sath hote
lekin ai mere rahbar
ab to KHauf us ka hai KHwab mein jo aae tum
aur be-KHayali mein nam jo liya hum ne
sab hi chaunk jaenge mustaqil sawalon se
la-jawab kar denge
is liye mere jaana
wasl ki jo KHwahish hai
is ko bhul jati hun
aur tumhaari yaadon se
ab widaa leti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.