watan aazad hai
ab to chal saktā huuñ maiñ saḌkoñ pe sīdhe haath ko
ab to mai-ḳhāna banā saktā huuñ maiñ fōtpath ko
roz-e-raushan ab to kah saktā huuñ kaalī raat ko
ye tumheñ ma.alūm hai bhaa.ī vatan āzād hai
mujh ko rishvat ḳhuub khāne kī bhī āzādī hai aaj
duudh meñ paanī milāne kī bhī āzādī hai aaj
ghar paḌosī kā jalāne kī bhī āzādī hai aaj
ye tumheñ ma.alūm hai bhaa.ī vatan āzād hai
Dāk-ḳhāna apnā rail apnī nahīñ ab koī Dar
ab to maiñ bai-rang ḳhat bhejūñgā be-ḳhauf-o-ḳhatar
ThaaT se ab be-ticket hogā trainoñ meñ safar
ye tumheñ ma.alūm hai bhaa.ī vatan āzād hai
aaj sharmā.eñge rocket bhī mirī raftār se
lūTtā khātā guzar jā.ūñgā har bāzār se
aur police bolī to maiñ kah dūñgā thānedār se
ye tumheñ ma.alūm hai bhaa.ī vatan āzād hai
maiñ huuñ ḳhud-muḳhtār ab aisā karūñgā intizām
zer-dastoñ ko sukūñ kī saañs lenā ho harām
aur ba-majbūrī zabardastoñ ko kar lūñgā salām
ye tumheñ ma.alūm hai bhaa.ī vatan āzād hai
be-tuke ash.ār ik ustād ne kal shab paḌhe
maiñ ye bolā phir to kahiye aap ye kyā kah ga.e
sharm se gardan jhukā lī aur ye kahne lage
ye tumheñ ma.alūm hai bhaa.ī vatan āzād hai
ab to chal sakta hun main saDkon pe sidhe hath ko
ab to mai-KHana bana sakta hun main footpath ko
roz-e-raushan ab to kah sakta hun kali raat ko
ye tumhein malum hai bhai watan aazad hai
mujh ko rishwat KHub khane ki bhi aazadi hai aaj
dudh mein pani milane ki bhi aazadi hai aaj
ghar paDosi ka jalane ki bhi aazadi hai aaj
ye tumhein malum hai bhai watan aazad hai
Dak-KHana apna rail apni nahin ab koi Dar
ab to main bai-rang KHat bhejunga be-KHauf-o-KHatar
ThaT se ab be-ticket hoga trainon mein safar
ye tumhein malum hai bhai watan aazad hai
aaj sharmaenge rocket bhi meri raftar se
luTta khata guzar jaunga har bazar se
aur police boli to main kah dunga thanedar se
ye tumhein malum hai bhai watan aazad hai
main hun KHud-muKHtar ab aisa karunga intizam
zer-daston ko sukun ki sans lena ho haram
aur ba-majburi zabardaston ko kar lunga salam
ye tumhein malum hai bhai watan aazad hai
be-tuke ashaar ek ustad ne kal shab paDhe
main ye bola phir to kahiye aap ye kya kah gae
sharm se gardan jhuka li aur ye kahne lage
ye tumhein malum hai bhai watan aazad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.