bahut aziiz hai mujh ko vatan aziiz vatan
vatan kī ḳhaak hai ambar mirī nigāhoñ meñ
vatan ke qatre samundar mirī nigāhoñ meñ
vatan ke zarre haiñ gauhar mirī nigāhoñ meñ
vatan ke ḳhaar gul-e-tar mirī nigāhoñ meñ
bahut aziiz hai mujh ko vatan aziiz vatan
mirī nigāhoñ meñ vaq.at hai tūr-e-sīnā kī
mirī nigāhoñ meñ azmat hai arsh-e-ālī kī
mirī nigāhoñ meñ izzat hai saarī duniyā kī
magar hai ḳhāk-e-vatan surma chashm-e-bīnā kī
bahut aziiz hai mujh ko vatan aziiz vatan
mire vatan meñ hai gautam kā faiz-e-rūhānī
mire vatan meñ hai giitā kī sham-e-nūrānī
mire vatan meñ hai gangā kī pāk-dāmānī
mire vatan meñ hai nūr-e-azal kī arzānī
bahut aziiz hai mujh ko vatan aziiz vatan
vatan kī gard vatan kī zamīñ vatan kī havā
vatan kī shaam vatan kī sahar vatan kī fazā
vatan ke kūche vatan ke chaman vatan kī adā
hai yaad un kī ilaaj apne ranj-e-ġhurbat kā
bahut aziiz hai mujh ko vatan aziiz vatan
buland-rutba-e-gardūñ se kār-gāh-e-vatan
buland-hausla-e-dil se bārgāh-e-vatan
kalīm-e-dil ke liye tūr-e-jalva-gāh-e-vatan
nashāt-e-rūh kī zāmin hai sajda-gāh-e-vatan
bahut aziiz hai mujh ko vatan aziiz vatan
bahut aziz hai mujh ko watan aziz watan
watan ki KHak hai ambar meri nigahon mein
watan ke qatre samundar meri nigahon mein
watan ke zarre hain gauhar meri nigahon mein
watan ke KHar gul-e-tar meri nigahon mein
bahut aziz hai mujh ko watan aziz watan
meri nigahon mein waqat hai tur-e-sina ki
meri nigahon mein azmat hai arsh-e-ali ki
meri nigahon mein izzat hai sari duniya ki
magar hai KHak-e-watan surma chashm-e-bina ki
bahut aziz hai mujh ko watan aziz watan
mere watan mein hai gautam ka faiz-e-ruhani
mere watan mein hai gita ki sham-e-nurani
mere watan mein hai ganga ki pak-damani
mere watan mein hai nur-e-azal ki arzani
bahut aziz hai mujh ko watan aziz watan
watan ki gard watan ki zamin watan ki hawa
watan ki sham watan ki sahar watan ki faza
watan ke kuche watan ke chaman watan ki ada
hai yaad un ki ilaj apne ranj-e-ghurbat ka
bahut aziz hai mujh ko watan aziz watan
buland-rutba-e-gardun se kar-gah-e-watan
buland-hausla-e-dil se bargah-e-watan
kalim-e-dil ke liye tur-e-jalwa-gah-e-watan
nashat-e-ruh ki zamin hai sajda-gah-e-watan
bahut aziz hai mujh ko watan aziz watan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.