watan ki lagan
hind merā chaman
is meñ huuñ maiñ magan
hai isī kī lagan
rāhat-e-jān-o-tan
merā pyārā vatan
merī izzat hai ye
merī daulat hai ye
merī azmat hai ye
merī jannat hai ye
merā pyārā vatan
hind kī ḳhaak se
phuul kyā kyā uge
laal piile hare
mastiyoñ meñ base
merā pyārā vatan
is ke dariyā baḌe
tāzgī se bhare
baaġh phūle phale
lahlahāte hue
merā pyārā vatan
is ke chashme javāñ
is meñ nahreñ ravāñ
jangal aur vādiyāñ
is se achchhī kahāñ
merā pyārā vatan
ye vatan hai mirā
maiñ huuñ is par fidā
is pe rakkhe ḳhudā
apnī rahmat sadā
merā pyārā vatan
des kī aas huuñ
des ke paas huuñ
is kī bū-bās huuñ
des kā daas huuñ
merā pyārā vatan
hind mera chaman
is mein hun main magan
hai isi ki lagan
rahat-e-jaan-o-tan
mera pyara watan
meri izzat hai ye
meri daulat hai ye
meri azmat hai ye
meri jannat hai ye
mera pyara watan
hind ki KHak se
phul kya kya uge
lal pile hare
mastiyon mein base
mera pyara watan
is ke dariya baDe
tazgi se bhare
bagh phule phale
lahlahate hue
mera pyara watan
is ke chashme jawan
is mein nahren rawan
jangal aur wadiyan
is se achchhi kahan
mera pyara watan
ye watan hai mera
main hun is par fida
is pe rakkhe KHuda
apni rahmat sada
mera pyara watan
des ki aas hun
des ke pas hun
is ki bu-bas hun
des ka das hun
mera pyara watan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.