watan ki mohabbat
vo chiḌiyā vo totā vo mainā vo mor
vo koyal vo bulbul vo qumrī chakor
vo jhīloñ kī lahreñ vo dariyā kā zor
vo jharnoñ kā girnā vo paanī kā shor
vo sarsabz is ke pahāḌ aur ban
ye merā vatan hai ye merā vatan
vo ġhalle vo meve vo tarkāriyāñ
vo ḳhush-rang phūloñ kī gulkāriyāñ
vo sarsabz bāġhoñ kī phul-vāriyāñ
vo sairāb aur ḳhushnumā kyāriyāñ
zamīneñ vo zarḳhez dilkash chaman
ye merā vatan hai ye merā vatan
vo bikhrī huī dhuup din kī bahār
vo nikhrī huī chāñdnī ḳhush-gavār
vo raushan sitāre vo shab kā siñghār
vo sehn-e-chaman meñ khilā lāla-zār
vo mahtāb kī pyārī pyārī kiran
ye merā vatan hai ye merā vatan
pahāḌoñ ke manzar banoñ kā samāñ
vo in meñ hazāroñ hī chashme ravāñ
kahāñ tak bayāñ is kī hoñ ḳhūbiyāñ
hai firdaus kā is chaman par gumāñ
ye bāġh-e-iram hai ye bāġh-e-adan
ye merā vatan hai ye merā vatan
wo chiDiya wo tota wo maina wo mor
wo koyal wo bulbul wo qumri chakor
wo jhilon ki lahren wo dariya ka zor
wo jharnon ka girna wo pani ka shor
wo sarsabz is ke pahaD aur ban
ye mera watan hai ye mera watan
wo ghalle wo mewe wo tarkariyan
wo KHush-rang phulon ki gulkariyan
wo sarsabz baghon ki phul-wariyan
wo sairab aur KHushnuma kyariyan
zaminen wo zarKHez dilkash chaman
ye mera watan hai ye mera watan
wo bikhri hui dhup din ki bahaar
wo nikhri hui chandni KHush-gawar
wo raushan sitare wo shab ka singhaar
wo sehn-e-chaman mein khila lala-zar
wo mahtab ki pyari pyari kiran
ye mera watan hai ye mera watan
pahaDon ke manzar banon ka saman
wo in mein hazaron hi chashme rawan
kahan tak bayan is ki hon KHubiyan
hai firdaus ka is chaman par guman
ye bagh-e-iram hai ye bagh-e-adan
ye mera watan hai ye mera watan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.