watan se jate hue
duur tujh se ai vatan kī sarzamīñ jaatā huuñ maiñ
jaane kyoñ tere chaman-zāroñ se ghabrātā huuñ maiñ
tere phūloñ meñ na paa.ī maiñ ne ḳhushbu-e-vafā
tujh se chhuTnā phir bhī hai mere liye sabr-āzmā
ai vatan aa.e tujhe shāyad kabhī merā ḳhayāl
terī nazroñ meñ haiñ merī zindagī ke māh-o-sāl
aañkh ko pur-nam na karnā dekh merī yaad meñ
tū na ThanDī saañs bharnā dekh merī yaad meñ
chañd dinoñ ke vāste honā na tū andoh-gīñ
ho na jaa.e nam kahīñ ġham ke pasīne se jabīñ
jāntā huuñ mujh ko DhūñDhegī tirī fasl-e-bahār
baaġh kī rangīniyāñ pūchheñgī mujh ko bār-bār
muskurāte phuul dohrā.eñge mere naam ko
tazkire ahbāb farmā.eñge aksar shaam ko
chuTkiyāñ legī diloñ meñ mere naġhmoñ kī miThās
shāyad ab tālāb kī saarī fazā hogī udaas
ġham kī maarī maañ ko merā dhyān aa.egā zarūr
kyā karūñ ḳhud ho rahā huuñ dāman-e-rahmat se duur
chhuT rahā huuñ us kī āġhosh-e-mohabbat se magar
yaad us kī saath hogī aur duā.eñ rāhbar
bad-gumāñ honā na maiñ rasm-e-vafā se duur huuñ
chhoḌ kar tujh ko na jaatā ai vatan majbūr huuñ
dur tujh se ai watan ki sarzamin jata hun main
jaane kyon tere chaman-zaron se ghabraata hun main
tere phulon mein na pai main ne KHushbu-e-wafa
tujh se chhuTna phir bhi hai mere liye sabr-azma
ai watan aae tujhe shayad kabhi mera KHayal
teri nazron mein hain meri zindagi ke mah-o-sal
aankh ko pur-nam na karna dekh meri yaad mein
tu na ThanDi sans bharna dekh meri yaad mein
chand dinon ke waste hona na tu andoh-gin
ho na jae nam kahin gham ke pasine se jabin
jaanta hun mujh ko DhunDhegi teri fasl-e-bahaar
bagh ki ranginiyan puchhengi mujh ko bar-bar
muskuraate phul dohraenge mere nam ko
tazkire ahbab farmaenge aksar sham ko
chuTkiyan legi dilon mein mere naghmon ki miThas
shayad ab talab ki sari faza hogi udas
gham ki mari man ko mera dhyan aaega zarur
kya karun KHud ho raha hun daman-e-rahmat se dur
chhuT raha hun us ki aaghosh-e-mohabbat se magar
yaad us ki sath hogi aur duaen rahbar
bad-guman hona na main rasm-e-wafa se dur hun
chhoD kar tujh ko na jata ai watan majbur hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.