watan
tire kisān ke siine meñ hasratoñ kā hujūm
tirī fazāoñ meñ har beTī maañ bahan maġhmūm
tire ġharīb kī āñkhoñ meñ sail-e-ashk ravāñ
tū ik vatan hai ki ujḌe hue vatan kā nishāñ
khiñchī huiiñ tire māthe pe is qadar shikneñ
khaḌī huiiñ tire siine pe itnī dīvāreñ
bahā hai kitnā lahū aaj tere dāman par
ḳhizāñ ye kis ne bichā.ī hai tere gulshan par
udaas āñkhoñ meñ kitne ḳhushī ke ḳhvāb haiñ aaj
tirī zamīn ke qarz ham pe be-hisāb haiñ aaj
ham ek sub.h-e-daraḳhshāñ ko ab taraste haiñ
añdhere terī fazāoñ ke ham ko Daste haiñ
koī to aa.e jo ham ko jagā.e ġhaflat se
ki ham bhī uTh ke sañvāreñ tujhe mohabbat se
tire vajūd ne jaise hameñ sañvārā hai
tire ḳhulūs ne jaise hameñ nikhārā hai
tere kisan ke sine mein hasraton ka hujum
teri fazaon mein har beTi man bahan maghmum
tere gharib ki aankhon mein sail-e-ashk rawan
tu ek watan hai ki ujDe hue watan ka nishan
khinchi huin tere mathe pe is qadar shiknen
khaDi huin tere sine pe itni diwaren
baha hai kitna lahu aaj tere daman par
KHizan ye kis ne bichai hai tere gulshan par
udas aankhon mein kitne KHushi ke KHwab hain aaj
teri zamin ke qarz hum pe be-hisab hain aaj
hum ek subh-e-daraKHshan ko ab taraste hain
andhere teri fazaon ke hum ko Daste hain
koi to aae jo hum ko jagae ghaflat se
ki hum bhi uTh ke sanwaren tujhe mohabbat se
tere wajud ne jaise hamein sanwara hai
tere KHulus ne jaise hamein nikhaara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.