widaa
tez aur tund nigāhoñ se guzarnā hogā
dard se ashk se aahoñ se guzarnā hogā
saḳht pur-pech do-rāhoñ se guzarnā hogā
is kaThin raah ko apnā bhī sakegī ki nahīñ
jā rahī hai vo magar jā bhī sakegī ki nahīñ
tere anvār ke shaidā.ī ko is dil se ġharaz
rahzan-e-husn ko is ishq kī manzil se ġharaz
ḳhūgar-e-ḳhalvat-e-rangīn ko mahfil se ġharaz
is ġharaz-mand ko samjhā bhī sakegī ki nahīñ
jā rahī hai vo magar jā bhī sakegī ki nahīñ
sīm-o-zar atlas-o-dībā kā payām aaya hai
ek mahrūm-e-tamannā ko salām aaya hai
zindagī jis se bahak jaa.e vo jaam aaya hai
aap apne meñ vahāñ aa bhī sakegī ki nahīñ
jā rahī hai vo magar jā bhī sakegī ki nahīñ
sho.ala-e-husn thā muḳhtas mirī mahfil ke liye
bahr meñ thā jo tamavvuj mire sāhil ke liye
vo tarannum ki jo thā vaqf mire dil ke liye
haañ vahī naġhma vahāñ gā bhī sakegī ki nahīñ
jā rahī hai vo magar jā bhī sakegī ki nahīñ
muskurātā sā zamāna use yaad aa.egā
apnī ulfat kā fasāna use yaad aa.egā
ek bechain divāna use yaad aa.egā
apne mahbūb ko Thukrā bhī sakegī ki nahīñ
jā rahī hai vo magar jā bhī sakegī ki nahīñ
mujh ko Dar hai tire aañsū na Dhalak jaa.eñ kahīñ
josh-e-sahbā se na ye jaam chhalak jaa.eñ kahīñ
paañv is raah meñ tere na bahak jaa.eñ kahīñ
zulf-e-āvāra ko suljhā bhī sakegī ki nahīñ
jā rahī hai vo magar jā bhī sakegī ki nahīñ
tez aur tund nigahon se guzarna hoga
dard se ashk se aahon se guzarna hoga
saKHt pur-pech do-rahon se guzarna hoga
is kaThin rah ko apna bhi sakegi ki nahin
ja rahi hai wo magar ja bhi sakegi ki nahin
tere anwar ke shaidai ko is dil se gharaz
rahzan-e-husn ko is ishq ki manzil se gharaz
KHugar-e-KHalwat-e-rangin ko mahfil se gharaz
is gharaz-mand ko samjha bhi sakegi ki nahin
ja rahi hai wo magar ja bhi sakegi ki nahin
sim-o-zar atlas-o-diba ka payam aaya hai
ek mahrum-e-tamanna ko salam aaya hai
zindagi jis se bahak jae wo jam aaya hai
aap apne mein wahan aa bhi sakegi ki nahin
ja rahi hai wo magar ja bhi sakegi ki nahin
shoala-e-husn tha muKHtas meri mahfil ke liye
bahr mein tha jo tamawwuj mere sahil ke liye
wo tarannum ki jo tha waqf mere dil ke liye
han wahi naghma wahan ga bhi sakegi ki nahin
ja rahi hai wo magar ja bhi sakegi ki nahin
muskuraata sa zamana use yaad aaega
apni ulfat ka fasana use yaad aaega
ek bechain diwana use yaad aaega
apne mahbub ko Thukra bhi sakegi ki nahin
ja rahi hai wo magar ja bhi sakegi ki nahin
mujh ko Dar hai tere aansu na Dhalak jaen kahin
josh-e-sahba se na ye jam chhalak jaen kahin
panw is rah mein tere na bahak jaen kahin
zulf-e-awara ko suljha bhi sakegi ki nahin
ja rahi hai wo magar ja bhi sakegi ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.