biis sadiyoñ hayūlā ho tum
biis sadiyoñ kā pur-asrār hayūlā jis par
sirf be-dard havāoñ ne zabāñ pherī thī
ab mirā haath hai aur haath kī ye zinda harārat shāyad
tum ko mahsūs ho badle hue mausam kī tarah
tum ye samjho ki kisī dhuup ke TukḌe ne tumheñ
roz kī tarah se phir chheḌā hai
yā thakā-māñda parinda hai jo aa baiThā hai
is bulandī se na dekho ki mire haath bhī pathrā jaa.eñ
jhurjhurī le ke ragoñ kī shāḳheñ
ek lamhe ke liye jaag uThīñ
lahlahāne lagīñ jaise phir se
juḌ ga.ī hoñ vo prāchīn jaḌoñ se apnī
aap apne meñ utartī huī
chup-chāp guphāoñ meñ ghane peḌ tale
khojtā rahtā huuñ batlāo kahāñ kho ga.e
uñglī kā ishāra pā kar
ulTī phirtī huī chakrī kī tarah ye duniyā
band āñkhoñ meñ simaT aatī hai
roz har sub.h kā aḳhbār jatātā hai ki is dhartī par
saare dar band hue
haath ākāsh ke rātoñ ko na utreñge kabhī
koī sachchā.ī ke dukh bāñTne vaalā bhī nahīñ
ġhaar kī aañkh se dekho mujh ko
apne kāñdhe pe uThā.e hue betāl kī laash
lauT aayā huuñ sambhālo ye virāsat apnī
maiñ thakā-māñda parinda hī sahī
dhaan ke khet meñ bhaj-kāg kī mānind khaḌe ho tum bhī
chiḌiyāñ be-vaj.h saham jaatī haiñ aur bhūkī hī palaT aatī haiñ
chiḌiyāñ zinda haiñ ki bhaj-kāg
koī kyā jaane
bis sadiyon hayula ho tum
bis sadiyon ka pur-asrar hayula jis par
sirf be-dard hawaon ne zaban pheri thi
ab mera hath hai aur hath ki ye zinda hararat shayad
tum ko mahsus ho badle hue mausam ki tarah
tum ye samjho ki kisi dhup ke TukDe ne tumhein
roz ki tarah se phir chheDa hai
ya thaka-manda parinda hai jo aa baiTha hai
is bulandi se na dekho ki mere hath bhi pathra jaen
jhurjhuri le ke ragon ki shaKHen
ek lamhe ke liye jag uThin
lahlahane lagin jaise phir se
juD gai hon wo prachin jaDon se apni
aap apne mein utarti hui
chup-chap guphaon mein ghane peD tale
khojta rahta hun batlao kahan kho gae
ungli ka ishaara pa kar
ulTi phirti hui chakri ki tarah ye duniya
band aankhon mein simaT aati hai
roz har subh ka aKHbar jatata hai ki is dharti par
sare dar band hue
hath aakash ke raaton ko na utrenge kabhi
koi sachchai ke dukh banTne wala bhi nahin
ghaar ki aankh se dekho mujh ko
apne kandhe pe uThae hue betal ki lash
lauT aaya hun sambhaalo ye wirasat apni
main thaka-manda parinda hi sahi
dhan ke khet mein bhaj-kag ki manind khaDe ho tum bhi
chiDiyan be-wajh saham jati hain aur bhuki hi palaT aati hain
chiDiyan zinda hain ki bhaj-kag
koi kya jaane
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 29)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.