wirsa
muḌ kar pīchhe dekh rahī huuñ
kyā kyā kuchh virse meñ milā thā
aur kyā kuchh maiñ chhoḌ rahī huuñ
merā ghar tūfān-zada thā
mere buzurgoñ ne dekhā thā
vo ifrīt-e-vaqt ki jis ne
un se sab kuchh chhīn liyā thā
phir bhī kyā kuchh mujh ko milā thā
chehroñ par mehnat kī chamak thī
āñkhoñ meñ ġhairat kī damak thī
haath meñ haath dhare the kaise
ḳhālī haath bhare the kaise
mil-jul kar rahne kī ravish thī
zinda rahne kī ḳhvāhish thī
ye sab kuchh us ghar se milā thā
vo ghar jo ik ḳhālī ghar thā
maiñ ne ek bhare kumbe meñ
apne hañste-baste ghar meñ
ḳhauf kā virsa chhoḌ diyā hai
rishta-e-jur.at toḌ diyā hai
lahjoñ meñ lafzoñ kī bachat hai
qurbat meñ kitnī vahshat hai
apnī ḳhushiyāñ apne āñgan
apne khilaune apne dāman
muḌ kar pīchhe dekh rahī huuñ
kyā kyā kuchh virsa meñ milā thā
aur kyā kuchh maiñ chhoḌ rahī huuñ
muD kar pichhe dekh rahi hun
kya kya kuchh wirse mein mila tha
aur kya kuchh main chhoD rahi hun
mera ghar tufan-zada tha
mere buzurgon ne dekha tha
wo ifrit-e-waqt ki jis ne
un se sab kuchh chhin liya tha
phir bhi kya kuchh mujh ko mila tha
chehron par mehnat ki chamak thi
aankhon mein ghairat ki damak thi
hath mein hath dhare the kaise
KHali hath bhare the kaise
mil-jul kar rahne ki rawish thi
zinda rahne ki KHwahish thi
ye sab kuchh us ghar se mila tha
wo ghar jo ek KHali ghar tha
main ne ek bhare kumbe mein
apne hanste-baste ghar mein
KHauf ka wirsa chhoD diya hai
rishta-e-jurat toD diya hai
lahjon mein lafzon ki bachat hai
qurbat mein kitni wahshat hai
apni KHushiyan apne aangan
apne khilaune apne daman
muD kar pichhe dekh rahi hun
kya kya kuchh wirsa mein mila tha
aur kya kuchh main chhoD rahi hun
- Book : Shaam ka pahla taara (Pg. 75)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.