visal
suno
merī mohabbat koī maut nahīñ
jis kā zā.iqa chakhnā tum par lāzim ho
merī mohabbat to āshiqoñ ke shamshān ghaaT par
ugā vo sāya-dār peḌ hai
jis kī Dāloñ par ajnabī parinde apnā ghar banāte haiñ
aur jis kī jaḌoñ meñ mere ham-nafas
apnī vahshatoñ kī jhulastī raakh Dālte haiñ
tum jo mere ham-zād ho
tumhāre liye to merī mohabbat zindagī hai
jis meñ mānind-e-gulzār taḳhlīq kā har pahlū
tumhārā intizārī rahtā hai
tum jo mere ham-raqs ho
tum kyoñ apne mehvar se dast-bardār hote ho
ki tumhāre aisā karne se
mere nizām-e-shaḳhsī kā tavāzun bigaḌne lagtā hai
aur bigaḌte zāviyoñ se jo manzar
merī āñkheñ dekhtī haiñ
us meñ isrāfīl apne narsinghe kī samt durust kartā hai
aur izrā.īl ek azm-e-azīm se apne par tolne lagtā hai
be-shak kullu nafsin zā.iqat-ul-maut
kullu nafsin zā.iqat-ul-maut
magar merī mohabbat koī maut nahīñ
jis kā zā.iqa chakhnā tum par lāzim ho
suno
meri mohabbat koi maut nahin
jis ka zaiqa chakhna tum par lazim ho
meri mohabbat to aashiqon ke shamshan ghaT par
uga wo saya-dar peD hai
jis ki Dalon par ajnabi parinde apna ghar banate hain
aur jis ki jaDon mein mere ham-nafas
apni wahshaton ki jhulasti rakh Dalte hain
tum jo mere ham-zad ho
tumhaare liye to meri mohabbat zindagi hai
jis mein manind-e-gulzar taKHliq ka har pahlu
tumhaara intizari rahta hai
tum jo mere ham-raqs ho
tum kyon apne mehwar se dast-bardar hote ho
ki tumhaare aisa karne se
mere nizam-e-shaKHsi ka tawazun bigaDne lagta hai
aur bigaDte zawiyon se jo manzar
meri aankhen dekhti hain
us mein israfil apne narsinghe ki samt durust karta hai
aur izrail ek azm-e-azim se apne par tolne lagta hai
be-shak kullu nafsin zaiqat-ul-maut
kullu nafsin zaiqat-ul-maut
magar meri mohabbat koi maut nahin
jis ka zaiqa chakhna tum par lazim ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.