wo abhi apne chehre mein utra nahin
kis se pūchhūñ vo kyā
shaḳhs hai jo mirī
aarzū ke jharokoñ meñ Thahre hue
saare chehroñ meñ bikhrā huā hai magar
ḳhud abhī apne chehre meñ utrā nahīñ
kis se pūchhūñ vo kyā
naam hai jo mirī
dhaḌkanoñ ke muqaddar meñ marqūm hai
aur vo kyā ajnabī hai jo sadiyoñ se mere ḳhayāloñ ke qarye meñ ābād hai
magar merā sūrat-shanāsā nahīñ
kis kī āvāz hai!
jo mirī ruuh meñ naġhma-parvāz hai
kaun batlā.egā us nagar kā pata
jis kī miTTī kī ḳhushbū mire jism ke vāste durj hai,
jis ke dīvār-o-dar merī be-ḳhvāb āñkhoñ se mānūs haiñ
aur jis ko kabhī maiñ ne dekhā nahīñ
nā-rasā.ī mirī nā-rasā.ī mirī!
jis ko paayā na thā us ko khone kā ġham
merī ḳhvāhish ke siine kā nāsūr hai
kis ko āvāz duuñ kis kā mātam karūñ
vo abhī apne chehre meñ utrā nahīñ
kis se pūchhūñ mirā mudda.ā kaun hai!
nā-rasā kaun hai!
kis se puchhun wo kya
shaKHs hai jo meri
aarzu ke jharokon mein Thahre hue
sare chehron mein bikhra hua hai magar
KHud abhi apne chehre mein utra nahin
kis se puchhun wo kya
nam hai jo meri
dhaDkanon ke muqaddar mein marqum hai
aur wo kya ajnabi hai jo sadiyon se mere KHayalon ke qarye mein aabaad hai
magar mera surat-shanasa nahin
kis ki aawaz hai!
jo meri ruh mein naghma-parwaz hai
kaun batlaega us nagar ka pata
jis ki miTTi ki KHushbu mere jism ke waste durj hai,
jis ke diwar-o-dar meri be-KHwab aankhon se manus hain
aur jis ko kabhi main ne dekha nahin
na-rasai meri na-rasai miri!
jis ko paya na tha us ko khone ka gham
meri KHwahish ke sine ka nasur hai
kis ko aawaz dun kis ka matam karun
wo abhi apne chehre mein utra nahin
kis se puchhun mera muddaa kaun hai!
na-rasa kaun hai!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.