wo apne hath mein duniya ki tahziben uThae aaegi
wo apne hath mein duniya ki tahziben uThae aaegi
Mohammad Anvar Khalid
MORE BYMohammad Anvar Khalid
vo apne haath meñ duniyā kī tahzībeñ uThā.e aa.egī aur gir paḌegī
maiñ naqshe kī madad se us ke girne kī ḳhabar dūñgā
samundar be-bizā.at hai ugal detā hai niilī kashtiyoñ ko
āsmāñ khiḌkī se bāhar pheñk detā hai jahāzoñ ko
sitāre dekh kar chalte nahīñ miTTī uḌā le jā.egī un ko
so ye vo sā.ateñ haiñ jab nahīñ chalte sitāre
aur miTTī phail jaatī hai
vo apnī āstīneñ dho ke ghar aa.egī aur un ko ujāle meñ sikhā.egī
mohabbat ek Dhīlā lafz hai is ke simaTne kā
so vo to kushtanī hai jo nahīñ niklā safar par aur naqshe kī madad se apne ghar pahuñchā
maiñ āñkheñ band kar lūñgā
vo lambī rāhdārī ke sire par aa.egī aur gir paḌegī
maiñ naqshe kī madad se us ke girne kī ḳhabar dūñgā
wo apne hath mein duniya ki tahziben uThae aaegi aur gir paDegi
main naqshe ki madad se us ke girne ki KHabar dunga
samundar be-bizaat hai ugal deta hai nili kashtiyon ko
aasman khiDki se bahar phenk deta hai jahazon ko
sitare dekh kar chalte nahin miTTi uDa le jaegi un ko
so ye wo saaten hain jab nahin chalte sitare
aur miTTi phail jati hai
wo apni aastinen dho ke ghar aaegi aur un ko ujale mein sikhaegi
mohabbat ek Dhila lafz hai is ke simaTne ka
so wo to kushtani hai jo nahin nikla safar par aur naqshe ki madad se apne ghar pahuncha
main aankhen band kar lunga
wo lambi rahdari ke sire par aaegi aur gir paDegi
main naqshe ki madad se us ke girne ki KHabar dunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.