wo
us meñ kitnā gharelū-pan hai us kī sāñsoñ meñ nuur hai aur chhātiyāñ
duudh se bharī haiñ us kī raushan siyāh āñkhoñ ke pālne meñ dūsrā
mard so rahā hai, maiñ jis kī sāñsoñ ke shor se baar baar uThtā
huuñ dekhtā huuñ to mere nazdīk sirf vo hai, sivā.e
us ke koī nahīñ hai, vo mere ghar meñ hai aur kis darja ajnabī
hai, abhī use uTh ke duur jaanā hai jism dhonā hai, apne
bachchoñ ko dekhnā hai safā.ī karnā hai jhūTe bartan bhī māñjhne haiñ
apne aaqā ke saath phir saarī raat marnā hai
us mein kitna gharelu-pan hai us ki sanson mein nur hai aur chhatiyan
dudh se bhari hain us ki raushan siyah aankhon ke palne mein dusra
mard so raha hai, main jis ki sanson ke shor se bar bar uThta
hun dekhta hun to mere nazdik sirf wo hai, siwae
us ke koi nahin hai, wo mere ghar mein hai aur kis darja ajnabi
hai, abhi use uTh ke dur jaana hai jism dhona hai, apne
bachchon ko dekhna hai safai karna hai jhuTe bartan bhi manjhne hain
apne aaqa ke sath phir sari raat marna hai
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 225)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.